Latest News

Bartania ko muashi bohraan ka khadsha, khwaraak, tel aur adwiyaat ki qillat ka khatrah

By News Desk Roman Urdu

August 19, 2019

London : Europe in dinoun ek bohrani soorat-e-haal ka shikaar hai jahan sab se ahem mauzo Bartania ka Europi union se ikhraj hain aur is ikhraj ke manfi wo misbet pehluon ka tajrih nigaar kafi barik beeni se jaiza le rahay hain. aisa gumaan kiya t jaraha hai ke Bartania ko kisi nakhushgawaar sorat-e-haal se khud ko mehfooz rakhnay ke liye muaser iqtisadi moahida karna hai taakay muashi bohraan se khud ko mehfooz rakha jasakay.

Bartania Europi union se agar koi iqtisadi samjhota kiye baghair nikalta hai to is soorat mein wahan khwaraak, tel aur adwiyaat ki qillat paeda honay ke khadshaat hain. Bartanwi akhbar Sunday Times ke mutabiq un tahaffuzaat ka izhaar hukoomat ki apne khufia dastawizaat mein kiya jachuka hai. akhbaar ke mutabiq baghair moahida ke Brexit ki soorat mein Bartanwi bandargahon ki soorat-e-haal ab-tar hojayegi aur Ireland ki sarhadoon par sangeen masail paeda hosakte hain.

Ek andazay ke mutabiq 85 feesad Bartanwi truck english channel uboor karne ke baad francesi custom qawaneen ka bhi saamna karenge, jiske liye tayari mukammal nahi. Brexit ke mumkina asraat par yeh report Bartanwi kabeena ke daftar nay muratab ki. Bartanwi wazeer tawanai Kwasi Kwarteng nay akhbar sunday times ki report mustard karte hue usay bila waja awam mein khauf paeda ki koshish qarar diya hai. Skynews TV channel se guftagu karte hue Bartanwi wazeer nay aisay tamam khadshaat ko khauf ka project qarar diya.

Bartanwi wazeer-e-azam Boris Johnson  keh chuke hain ke Europi union ke sath chahay koi moahida tey paye ya nahi, Bartania 21 october ko Europi union se nikal jayega. baaz mubasireen ke mutabiq agar Bartania waqai baghair moahida ke Europi union chhodta hai to is se Bartania mein dastoori bohraan bhi paida hosakta hai.

100 se zayed Bartanwi arakeen-e-parliment nay wazeer-e-azam johnson ke naam likhay gaye ek khat ke zariye mutalba kiya hai ke Bartania ek qaumi emergency se guzar raha hai is liye parliament ka fori ijlaas bulaya jaye. isi douran Brexit minister Stephen barclay nay kaha hai ke Bartania ke Europi union se niklne ka amal shuru ho chuka hai aur ab is mein wapsi ki koi gunjaish nahi. unhon nay ek Tweet mein kaha ke unhon nay ek qanooni dastaweez par dastakhat kar diye hain jis ke tehat 1972 ke Europi communities act ki tanseekh ka amal shuru hojayega. Bartania isi qanoon ke tehat Europi union ka rukan bana tha. –YTN STAFF