Latest News

Bain Ul Aqwami parwazon ko dobarah shuru karne ka faisla: Saudi

By News Desk Roman Urdu

September 10, 2020

Riyadh: Saudi Arab ke wazeer-e-sahet neh kaha ke Saudi Arab ke liye bain ul aqwami parwazon dobarah shuru karne ka faisla coronavirus ke phelao par munhasir hai. Tawfig AlRabiah neh kaha ke hum sab ki hifazat ka khayaal rakhtay hain aur is terhan hum tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar kar rahay hain aur jab virus ka phelao kam hoga aur halaat behtar hon ge to bain ul aqwami parwazon ka faisla kiya jaye ga.

Hamaray paas abhi bhi corona mareez hain, Hum hamesha sorat-e-haal ka jaiza letay rahen ge taakay hum sahih faisla len saken. Hamara faisla Shah Salman ki hidaayat par virus ke phelao aur majmoi sorat-e-haal par mabni hai. Saudi Arab ney mulk mein Coronavirus ke phelao ko kam karne ke liye 15 March ko bain ul aqwami parwazein moattal kar di theen. Saudi ney mulk se baher ke bashindon ke liye visa aur rehaishi ijazat naame mein towsee kar di jo lockdown ki wajah se wapas nahi aasakte hain.