Manama: Bahrain ne 5 June se Masajid mein namaz jummay ki ba-jamaat adai ki ijazat dainay ka elaan kiya hai. Bahrain ki wazarat insaaf, Islami umoor aur waqf ne ek bayan mein kaha hai ke Masajid ke muntazmeen coronavirus ko phelnay se roknay ke liye hifazati ahteyati tadabeer ikhtiyar karne ke paband honge aur COVID-19 ku bohraan se mutaliq faislay waqatan fawaqtan soorat e haal ke jaizay ki roshni mein kiye jayenge.
Bahrain ne March ke aakhir mein Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye dosray khaliji Arab mumalik ki terhan Masajid mein Panjgutta namazoun ke ilawa namaz jummay ki adai moqoof kardi thi aur Muslim ibadat guzaroun ko ye hidayat di thi ke wo apne gharo hi mein namaz ada karen.
Darin asna Bahrain ki wizarat sahet neh Coronavirus ke 285 naye maamloun ki ittila di hai aur ab mulk mein kul tasdeeq shuda afraad ki tadaad 9977 hogayi hai. Wizarat neh kaha hai ke Coronavirus ke naye mamlaat mein ziyada tar ghair mulki tarkin watan hain aur un ki tadaad 208 hai, Baqi 77 Bahraini shehri hain. Wo pehlay se mutasirah afraad se ghulne milnay ki wajah se is mohlik waba ka shikaar huve hain. Wizarat sahet neh 143 afraad ke sahet yab honay ki bhi ittila di hai aur ab kul shifayab honay walay mareezoun ki tadaad 5295 hogayi hai jabkay is nanhi khaliji riyasat mein coronavirus se ye sirf 15 mareezoun ki wafaat huvi hai.
Bahraini hukoomat ney hajjamoun ki dukanain aur khawateen ke Beauty Parlor dobarah kholnay ki ijazat day di hai. Is ke baad wizarat sahet ney mutadid dukanoun par chhapa maar kar karwaiya ki hain aur un dukanoun ka jaiza liya hai ke aaya wahan coronavirus se bachao ke liye rehnuma hidayat aur hifazati ahteyati tadabeer ki pasdari ki jarahi hai. Bahrain ney March ke aakhir mein ghair zurori karobaroun aur dukanoun ko band kardiya tha aur ghair mulkioun ke mulk mein dakhlay par pabandi ayed kar di thi lekin doosri khliji reyastoun ki terhan curfew nafiz nahi kiya tha.
Wazeh rahay ke Bahraini hukoomat ne Ramadan se qabal super markets, Cold Stores, Qassab, Sabzi faroshoun aur machhli ya gosht ko dukanoun ko khula rakhnay ki ijazat day di thi. Un ke ilawa har qesam ki Bakeries, Petrol aur Gas Station, Hospital, Clinics, Dawakhane aur amraaz chasham ke marakaz khulay hai. Un idaroun ke dafatir bhi khulay hain jo ashya daraamad karte ya taqseem karte hain. Gadiyoun ki Workshops aur tamirati sanat ke idaray khulay hain aur Bank aur Currency ke lain deen ka kaam karne wali Agencies ke alawa Factories aur Manufacturing Companies ko bhi kholnay ki ijazat day di gayi thi. –YTN STAFF