Latest News

Bacteria se Technology se lais khusoosi Ihram

By News Desk Roman Urdu

August 04, 2020

Riyadh: Saudi Arab ki wizarat Hajj Umrah ne kaha hai ke is saal Hujjaj ke liye Nano Technology se aaraasta khusoosi Ihram faraham kiye gaye they. Is Ihram ki khasiyat ye hai ke is mein Bacteria jama nahi ho saktay. Media ne wizarat Hajj ke Twitter par jari bayan ke hawalay se kaha hai ke Nano Technology se aaraasta Ihram Saudi shehri Hamed Al Yami ki ijaad hain jo is saal pehli martaba Hujjaj ne istemaal kiye.

Wizarat ne mazeed kaha ke jadeed tareen Ihram Hujjaj ki sahet-o-salamti ke pesh-e-nazar istemaal karwaye gaye they taakay inhen corona aur deegar amraaz se mehfooz rakha ja sakay. Is se qaumi sanat ke farogh aur Saudi mo-jad ki hosla afzai karna bhi maqsood tha.

Nano Technology se teyaar kardah Ihram ki khasusiyat ye hai ke usay istemaal karne walay ke jism par wo bacteria muntaqil nahi ho saktay jo insani paseenay ke sath jama ho jatay hain. Ye Ihram sad feesad khalis cotton se bana huwa hai jisay 90 martaba se zayed martaba dho kar istemaal kiya ja sakta hai. Ihram ke miyaar ko bain ul aqwami miyaar ki sanad bhi mili hai.