Cairo: Misri adalat ne sher khawar bachhi ko tezaab pila kar maarny wali Maa ke khilaaf mout ki saza ka faisla sunaya hai. Maa ne Al-Beheira soobay ki Rahmaniyah tehseel ke cilinic mein apni bachi ko doodh ki jagah tezaab pila diya tha. Tafseelaat ke mutabiq Beheira mein fouj daari ki adalat ne laparwai ka ilzaam saabit hojane par 2 Doctors ko 1 saal qaid ki saza sunai hai.
Misri media ney tafseelaat dete huve kaha ke is waardaat ka ilm is waqt huwa jab cilinic mein bachoun ki nighdasht ke idaray ke zimma daraan ney dekha ke nomolood ki sehat beggad rahi hai. Is ke hont jalay huve nazar aarahay they. CCTV Cameras ki madad se pata chala ke Maa ney Nurse se bachi ko doodh pilanay ke liye kaha aur jab Nurse wahan se chali gayi to Maa ney tezaab ka injunction apni bachi ko day kar kachray ke dabbay mein daal diya aur cilinic se chali gayi. Bachi ki tadfeen mout ka sabab daryaft kiye baghair kar di gayi thi.
Misri media ke mutabiq jab bachi ka baap beroun mulk se wapas aaya to usay is ke bhai ne bataya ke tumhari beti tezaab ki wajah se halaak huvi hai aur tezaab ka injunction tumhari biwi ne diya hai. Baap ne fori tor par adalat se rujoo kiya. Public Prosecution ney laash nikalwa kar postmortem karwaya. Report se ye baat saabit hogayi ke bachi ki mout tezaab se huvi hai.
Fouj daari juraim ka suraagh laganay walay idaray ney Clinic ke CCTV cameras ki madad se jurm ka pata lagaya. Cameras ki madad se ye raaz bhi munkashif hogaya ke Clinic ke zimma daraan ko waqea ka ilm tha lekin unhoun ney bachi ke rishta daaroun ki darkhwast par police mein report darj nahi karwai. Public Prosecution ney bachi ke qatal ke ilzaam mein is ki Maa aur Clinic ke zimma daraan ko FIR darj karkay adalat mein pesh kardiya. Adalat ney qatal ke ilzaam mein Maa ko mout ki saza aur bachi ke Record mein jealsaazi ke ilzaam par Clinic ke zimma daar doctors ko 1 baras ki saza suna de.