Hyderabad

Babri Masjid par Supreme Court ka faisla mayoos kan: Majeed Ullah Khan Farhat

By News Desk Roman Urdu

November 09, 2019

Hyderabad: Babri Masjid mutanazia arazi par aaj supreme court ne apna tareekhi faisla sunadiya hai jahan Ram Mandir ki taamer ki rah hamwar karne ke alawa musalmanoun ko 5 acres araazi masjid ke liye faraham karne ki hidayat di hai.

Supreme court ke is tareekhi faislay par Hindustan ke har gosha ke alawa duniya bhar se miley jalay rad-e-amal aarhay hain jis mein kisi ne usay Hindustan ke moujooda sorat-e-haal aur mustaqbil ke aman ke liye behtar faislay qarar daitay hue is ka khaer maqdam kiya to kisi ne is faislay ko malkiat araazi ke bajaye Aashtah aur Aqeedat ke tanazur mein kiya janey walay mayoos kan faislay qaraar diya hai aur is fehrist mein riyasat telangana ke dar-al-hukomat hyderabad ki siyasi jamaat majlis-e-bachao tehreek (MBT ) ke sadar Majeed Ullah Khan Farhat bhi shaamil hain.

Majeed Ullah Khan Farhat ne Supreme Court ke Babri Masjid Ram Mandir mutanazia arazi ke faislay ko mayoos kan qarardiya hai aur kaha hai ke faislay dastoor ke mutabiq karne ke bajaye farzi shawahid aur Aastha aur aqeedat ke tanazur mein kiya hai. unhoun nay apne bayan mein kaha hai ke wo yeh kehte rahay hain ke wo har faislay ke haq mein rahay jo kay qanoon aur dastoor ke tehat kiya jaye lekin aaj ka jo faisla hai jo kay haq milkiat ki baat thi adalat ne wo haq milkiat ki nahi balkay Aastha aur aqaed ki bunyaad par faisla kiya.

Majeed Ullah Khan Farhat ne mazeed kaha ke yeh faisla saari duniya ke samnay hai. aur is mein insaaf hua ya nahi hua sab par ayaan hai aur musalsal 1949 se aaj tak har qadam par chahay wo masjid ko maqfal karne ya phir Masjid  ke taaley kholnay, Masjid ka ek minar giraya gaya aur phir Masjid shaheed kardi gayi, phir khudayi ki gayi, shawahid nahi they to shawahid paeda kiye gaye, dastawizaat nahi they to farzi dastawizaat paeda kiye gaye aur musalsal na-insafiyan hoti rahen.

Majeed Ullah Khan Farhat ne apna bayan jari rakhtay hue mazeed kaha ke lekin aaj badey afsos ke sath aur dukhi dil ke sath mein ye elaan karta hon ke dastoor ke pehlay safha par darj hai ke insaaf ka ehsas hona chahiye. Babri Masjid muqadma hindu muslim ka masla ya  2 aqaed ka masla nahi tha balkay yeh milkiat arazi ka masla tha jahan farzi shawahid aur farzi aqaed ki bunyaad par na-insafi ki gayi.

Hum musalsal jad-o-jehad karte rahay. Na-insafyon ke khilaaf aawaz uthatay rahay aur ye umeed karte rahay ke adalat insaaf karegi kyunkay adalat ka kaam insaaf karna hai lekin jo Babri Masjid ki khudai  hui is se pehlay sangh pariwaar aur bilkhushoos L.K. Advani aur RSS ke sarbarahoun ka ye bayan tha ke Aashta ki bunyaad par hum adalat ke kisi faislay ko nahi mantay.

Is tareekh ke inkaar nahi kiya jasakta ke L.K.Adwani ke rath yatra par tashadud koshish thi aur yatra ke mauqa par kaha tha hum kisi adalat ko nahi mante aur waqt bhi Hindustan ka musalman ye hi kaha raha tha ke adalat se insaaf hoga kyunkay hamaray paas shawahid aur dastawizaat hai aur adalat se hum ko insaaf mileyga lekin chand din qabal se qanoon ke nahi maan-ne walay RSS ke sarbarah qanoon ko maan-ne ki baat kar rahay they. jo musalmanoun ko dekhana pasand nahi karte they woh musalmanoun se baith kar bat karne ke khwaahan they. un tamam halaat aur saazish ke tehat yeh samnay aata hai ke faisla mansoobah band hai. zehan banakar faisla kiya gaya hai.

Majeed Ullah Khan Farhat ne mazeed kaha kay Hindustan ka qanoon dastoor Dr.B.R. Ambedkar ne muratab kiya tha aur aaj Supreme court ne jo faisla kiya hai woh Ambedkar ke qanoon aur azad Hindustan ke dastoor ke mutabiq faisla nahi hai. unhoun ne mazeed kaha ke supreme court ke Muaziz judge bhi ye ehad letay hain ke woh dastoor ki baladasti ko qaim rakhen ge lekin aaj jo ajeeb-wo-ghareeb manzar dekhnay ko mila aur ye faisla dastoor ke mutabiq nahi nahi hai aur Allahabad ke high court ne jo faisla sunaya tha aur Justice Sharma ne jo faisla diya tha waisa hi faisla supreme court ne diya hai. Hum ye umeed kar rahay the ke Allahabad high court ke faislay ko sudhaar hoga lekin supreme court ne bhi waisa hi faisla sunaya hai. –YTN STAFF