India

Babri Masjid Muqadma, Salisi Committee Ko 15 August Tak Hatmi Report Paish Karne Ki Hidayat

By News Desk Roman Urdu

May 11, 2019

New Delhi: Babri Masjid milkiat muqadma mein Supreme court ki paanch rukni aaeni bench ne salisi committee ki muddat mein towsee karte hue usay 15 august tak  apni hatmi report paish karne ki hidayat  di hai. hindu fariqain is ke khilaaf they aur chahtay they ke salisi committee ki muddat ko kum karkay June tak  kardiya jaye lekin adalat ne unki Daleel ko qabil aetna nahi samjha .

Doosri taraf jamiat ulama hind ke wakeel Dr Rajeev Dhawan ke mutabiq agar salisi committee mazeed waqt chahti hai to usay mazeed mohlat di jani chahiye. adalat ne Rajyo Dhon ki Daleel ko tasleem kiya aur committee ki miyad mein 15 augst tak  ka izafah kardiya. wazeh rahay ke cheif justice Ranjan Gogoi ki sarbarahi mein 5 rukni aaeni binch ke samnay jab yeh maamla paish hua to Jamiat ulama hind ke Mohammad Siddiq general secretary jamiat ulama, Uttar pradesh ki taraf se senior advocate dr Rajeev Dhawan senior advocate Raju ram  chandran, advocate barnda Guruver aur advocate on record Aijaz Maqbool waghera pairwi ke liye paish hue .

Jamiat ke wukla ne adalat ko mutala kiya ke salisi panel ke samnay hamaray fareeq apne bayanaat darj karwa chuke hain aur agar panel ke rubaroo paish honay ki mazeed zaroorat paish aati hai to woh is ke liye bhi tayyar hain. samaat ka jab aaghaz hua to salisi committee ke chairman sabiq justice faqeer Mohammad Khalif ullah ne aaeni bench ke samnay ek seal band lifaafa mein committee ki uboori report paish ki jis mein adalat se yeh darkhwast bhi ki gayi thi ke fariqain ke darmiyan musalihat aur masla ko suljhanay ke liye committee ki muddat mein 15 augst tak  ka izafah kardiya jaye. Hindu fareeq is haq mein bilkul nahi they jabkay jamiat ulama hind ke wakeel dr Rajeev Dhawan ne adalat se kaha ke agar committee masalihati amal ke liye mazeed waqt chahti hai to usay diya jana chahiye .

Ibdteda may cheif justice ne bhi mazeed waqt dainay se inkar kardiya tha lekin baad mein deegar judges se tabadlah khayaal ke baad unhon ne kaha ke hum mazeed waqt dainay ke liye tayar hain. is mauqa par Nirmohi  ne darkhwast ki ke musalihat ka amal Faizabad ke bajaye lucknow ya Dehli mein anjaam diya jana chahiye isne yeh bhi kaha ke committee fariqain se alehda alehda guftugu kar rahi hai, tamam fariqain ko ek sath bithakar baat cheet nahi ki jarahi hai. adalat ne un dono baton ka koi notice nahi liya .

Karwai ke douran Raam lala ke wakeel CS Videhnathan ne shikwah kya ke 26 feb ke hukum ke tehat aath haftay ke under fariqain ko gawahoon ke bayanaat ke tarjuma par apna aitraaz daakhil karna tha lekin ab tak  kisi ne aitraaz daakhil nahi kya is par Jamiat ulama hind ke wakeel on record Aijaz maqbool ne jawab diya ke 13990 safhaat par mushtamil tarajum par hum log kaam kar rahay hain un mein dastawizaat aur gawahoon ke bayanaat ke tarajum shaamil hain. unhon ne Daleel di ke un tarajum ka mutalea kya jana bohat zurori hai kyunkay un mein bohat ghalatiyan hain .

Is hawala se unhon ne haji mehboob Ahmed ki gawahi batore missal paish ki aur kaha ke unhon ne apni gawahi mein kaha tha ke mein babri masjid mein jummay ki namaz ke alawa bhi paanchon waqt ki namazain padhta raha hon lekin Uttar pardesh hukoomat ki taraf se is ka jo tarjuma daakhil kiya gaya hai is mein likha gaya hai ke jummay ki namaz ke alawa yani jummay ki namaz chodh kar paanchon waqt ki namaz padhta raha hon unhon ne kaha ke yeh to ek misaal hai tarjuma mein aur bhi bohat si khamiyan hain. is par adalat ne kaha ke tarjuma ke jin hisson par fariqain ko aitraaz hai is par apna aitraaz adalat ke samnay paish karen to adalat is par ghor kare gi .- YTN STAFF