India

Babri Masjid ke muddai Iqbal Ansari , Supreme court ke faislay ko challenge nahi karenge

By News Desk Roman Urdu

October 17, 2019

Ayodhya : Babri Masjid ke muddai Iqbal Ansari  ne kaha hai ke woh Ram janam bhoomi babri masjid mutanazia muqadma mein Supreme court ke faislay ko qubool karenge aur faislay ko challenge karne wali koi petition daakhil nahi karenge. Iqbal ansari, jinke waalid hashim ansari, babri masjid case mein sab se puranay they, ne kaha ke inhen khushi hai ke yeh case apne mantaqi anjaam tak pohancha hai. aur kaha ke ”taqreeban 70 saloun se ayodhya tanaza mein siyasat dekhi ja rahi hai aur ab mujhe umeed hai ke shehar mein kuch taraqqi hogi“.

Iqbal Ansari ne kaha ke ”unhoun ne unke waalid ki taraf se shuru ki jaaane wali ladai ko jari rakhnay ka azm kiya tha aur unhon ne apna wada poora kiya hai. Iqbal ansari ne apne waalid ko yaad karte hue kaha ke ”mere waalid ka inteqaal july 2016 mein hua. woh 95 saal ke they, unhon ne pehlay to darzi ki haesiyat se kaam kiya aur phir cycle ki marammat ki dukaan kholi. woh 1949 se babri masjid title suit se wabsta they, aur jab masjid mein Ram ki moorti nasb ki gayi thi, is waqt awaami hum-ahangi ki khilaaf varzi karne par girftar honay walon mein bhi shaamil they.

Is ke alawa hashim ansari ko 1952 mein mutanazia jagah par namaz ke liye azaan dene par 2 saal qaid ki saza sunai gayi thi. 1961 mein Hashim Ansari aur 6 log Faizabad ke civil judge ki adalat mein sunni waqf board ki taraf se dair kardah muqadma mein ahem aur markazi mudai they. –YTN STAFF