India

Babri masjid inhedam case ki samat karne walay khusoosi judge ki miyad mein towsee

By News Desk Roman Urdu

September 13, 2019

New Delhi : Babri Masjid inhedam case ki samaat karne walay khusoosi judge SK Yadav ke miyad mein towsee kardi gayi hai.

UP hukoomat nay kaha ke supreme court ke hukum ke mutabiq is muddat mein towsee ki gayi hai. is silsila mein UP hukoomat nay notification jari karkay is muddat mein towsee kardi hai.

Guzashta samaat mein supreme court nay khusoosi CBI judge SK yadav se April 2020 tak case ki samaat mukammal karne aur faisla sunanay ko kaha tha. Lucknow ki CBI khusoosi adalat mein Babri Masjid inhedam case mein BJP ke senior qaideen Advani, Joshi, Kalyan Singh, Uma Bharti , aur deegar par muqadma chal raha hai.

Supreme court nay kaha hai ke 30 September ko retire honay walay khusoosi judge ki muddat mulazmat mein sirf is case ki samaat mukammal karne aur faisla sunanay ke liye hi towsee ki ja rahi hai. bench nay khusoosi judge se 9 mah ke andar is muamlay mein faisla sunane ko kaha hai. is maamla mein Advani, joshi aur Uma Bharti ke alawa BJP ke sabiq rukan parliment Vijay katyar aur sadhvi rita par 19 April 2017 ko mujremana saazish ka ilzaam lagaya gaya tha.

Is muamlay mein teen ahem mulzimon vishwa hindu parishad ke rehnuma Giriraj kishore, ashok senghal aur Vishnu hari dalmiya, ki mout hojane ki wajah se un ke khilaaf muqadma khatam kar diya gaya tha. 6 dec 1992 ko ayodhya mein 16 sadi ki babri masjid ko munhadim kar diya tha, is mauqa par LK Advani, Murli manohar joshi aur deegar BJP rehnuma moujood they. –YTN STAFF