India

Babri Masjid case se Advocate Rajeev Dhavan ko hata diya gaya

By News Desk Roman Urdu

December 03, 2019

New Delhi: Ayodhya tanaza mein muslim fareeqoun ki taraf se pesh hone walay Advocate Rajeev Dhavan ko is maamla se hata diya gaya hai. Rajeev Dhavan ne Social Media par post likh kar is barey mein bataya. Unhoun ne Facebook par likha ”Jamiat ke wakeel, Ejaaz Maqbool ne mujhe barkhast kar diya hai. Ab mein daakhil ki gayi nazar sani ki darkhwast mein shaamil nahi hon“. Dhavan ne agay likha ke ”kaha ja raha hai ke mujhe case se is liye hata diya gaya hai, Kyun kay meri tabiyat theek nahi hai. Lekin haqeeqat mein aisa kuch nahi hai“.

Rajeev Dhavan ne apne post mein mazeed likha ke ”Mujhe ittila mili hai ke ”Arshad Madani ne ishara diya hai ke mujhe kharab tabiyat ke sabab hata ya gaya hai. Ye poori bakwaas hai. Inhen ye hak hai ke wo apne wakeel Ejaaz Maqbool ko Hidayat den ki wo mujhe hata den, Lekin is ke peechay bataya janey wala sabab poori trah se bad bagtana aur jhoota hai“.

Isi douran. Jamiat ke wakeel Ejaaz Maqbool ka kehna hai ke ye kehna ghalat hai ke Rajeev Dhavan ko alalat ke sabab hata diya gaya. Darasal, Jamiat peer ko hi nazar sani ki darkhwast daakhil karna chahti thi, Lekin Rajeev Dhavan dastyab nahi they, lehaza un se mahswara kiye baghair nazar sani ki Darkhwast dair kar di gayi

Doosri taraf All India Muslim Personal Law Board, Aur is ki himayat kar rahi deegar jamaatoun ke wakeel MR Shamshad ne kaha ke Rajeev Dhavan un ki janib se is case mein wakeel rahen ge, Fariqain Rajeev Dhavan se mulaqaat karen ge aur inhen case ladne ke liye raazi karne ki koshish karen ge. Kyun kay Dhavan ne is muamlay mein Muslim Partiyon ki janib se sakht mehnat ki hai. Unhoun ne kaha ke bhallay hi jamiat ne inhen muqadma se hata diya ho, Lekin doosri fareeq inhen hi bator wakeel rakhna chahtay hain.

Mangal ke roz Board ke secretary Maulana Khalid Saif Allah Rahmani ne kaha ke Rajeev Dhavan Board ke liye muqadma ladte rahen ge. Rajeev Dhavan hamesha ittehaad-o-insaaf ki alamat rahay hain.

Wazeh ho ke, Peer ke roz, Ayodhya muamlay par Supreme Court ki janib se sunee gaye faisla ki nazar sani ke liye jamiat Ulmaye Hind ki janib se darkhwast daye ki gayi thi. Darkhawast mein Supreme Court ki janib se 9 November ke faislay ke un 3 nakaat par tavajja dilae gayi hai, Jin mein tareekhi ghaltioun ka zikar hai, Lehaza faisla is ke bar aks aaya hai. –YTN STAFF