India

Azim Premji Foundation Ki Janib Se Makhlua Jayedadon Bharti

By News Desk Roman Urdu

June 11, 2019

Hyderabad:  Azim Premji Foundation jo ke ek ghair munafe bakhash tanzeem hai aur hukoomat ke ishtiraaq ke sath guzashta do dahoun se schooli taleem ke miyaar ko behtar bananay mein apni khidmaat faraham kar rahi hai, is ne ab Telangana aur karnataka mein bunyadi tor par schooli taleem ke miyaar ko mazeed behtar bananay aur aangan wari ke zareya maqasid ke husool ke liye ahal aur qabil umeedwaron se darkhwasten talabb ki hain. makhlua jayidadin un hazraat ke liye dastyab hain jo ke bachon ki ibtidayi taleem ke shoba mein apni khidmaat faraham karne ke ilawa samaji tabdeeli mein apni khidmaat faraham karna chahtay hain .

khawahish mand hazraat jo ke graduation ki taleem ke sath D.ed ya phir B.ed ki degree rakhtay hon ya phir post graduate ki sanad rakhtay hon woh hazraat darkhwast day satke hain. makhlua jayidadin chunkay telangana aur Karnataka ke shumal mashriqi ilaqon ke aangan wadi ke liye dastyab hain lehaza khawahish mand hazraat ko telugu aur kanada zabaan se waaqif hona zurori hai .

Telangana mein mulazmat anjaam dainay walay hazraat ki khidmaat Sangareddy mein hi li jayegi. muntakhib umeedwaron ko mahana 29 hazaar rupiye tankhwa di jayegi. aalamia mein yeh bhi kaha gaya hai ke jo hazraat taleem wo tadrees ke pesha se wabsta hain inhen  awaleen tarjeeh di jayegi. mazeed tafseelaat ke liye Azim Premji Foundation ke Website azimpremjifoundation.org mulaheza karen . –YTN STAFF