Ayodhya : Babri Masjid ki jagah lenay ke liye Ayodhya mein mutabadil masjid ki taamer ke liye UP central sunni waqf board Ayodhya ke zareya faraham kardah trust Indo Islamic cultural foundation ne haftay ke roz apna sarkari logo jari kiya, jo Ek Octogram ki tarhan hai.
Masjid ke secretary Ather Hussain ney kaha yeh logo ek islami alamat hai. ( Rub-el-hizb) arabi mein Rub ka matlab ek choutha hota hai, jabkay’ hizb’ ka matlab ek groh ya jamaat ko kehte hain. yeh hifz-ul-quran aur tilawat quran ki sahoolat ke liye ek nizaam hai jisay se 60 hizb mein taqseem kiya gaya hai. is alamat ko arabi khatati ke ek baab ke liye bator-e-nishaan istemaal kiya jata hai. Haftay ke roz trust secretary aur membraan ney Dhanipoor ka dora kiya taakay 5 acre araazi ki topography ka muaina kiya jaye, jisay zilai intizamia ney august ke pehlay haftay mein supurd kiya tha.
Secretary Ather Hussain aur Trustee Imran Ahmed Shibli par mushtamil wafad ne Dhanipur aur is se mulhiqa dehaton mein muqami ulama aur wahan ke muslim community ke membraan se mulaqaat ki. Dhanipoor gaon ke logon ne wafad ko masjid aur deegar awaami sahuliyaat ki taamer mein madad aur taawun ki yaqeen dehani karai. Dhanipoor mein supurd kardah zameen par trust ne ek multi Speciality hospital, ek community kitchen aur ek library ke sath ek masjid taamer karne ka taiqun diya.
Trust ne pehlay hi elaan kar diya tha ke masjid’ Babar ‘ ke naam par nahi hogi aur deegar sahuliyaat tamam baradri ke logon ke liye kholi jayengi. Baad azan wafad ne Dhanipoor se mut-tasil ek qadeem jain mandir ka bhi dora kiya.