India

Ayodhya faislay ko firqa waranah rang na dene ka mutalba

By News Desk Roman Urdu

November 05, 2019

New Delhi : Ayodhya mein mutanazia zameen ke mutaliq Supreme court ka faisla aanay se pehlay, Akhil Bhartiya Sunnat Committee ( Rashtrya swam sevak singh ( RSS ) aur vishwa hindu parishad ( VHP ) ney wazeh kar diya hai ke faisla chahay jo ho woh usay hindu musalman ka firqa waranah rang nahi lainay denge aur na hi kashi ya mathura ka masla uchalnay ki koshish karenge.

Mulk mein sadhu santon ki ahem tanzeem Akhil Bhartiya Sunnat Committee ke qaumi general secretary dandi -swami Jitendra anand sarswati ne mulk ke tamam santoun ko ek khat likh kar darkhwast ki hai ke tamam sanat is mauzo ko shikast wo fatah se door rakh kar qaumi ittehaad aur salmiyat barqarar rakhnay mein taawun karen.

Unki guftagu aur taqreer muashray mein ishtial peda na karen. kisi ko chedhne ka kaam na ho.

Unhon ne kaha ke adalat ka faisla anay se pehlay ya baad mein santon ki raye sahafion aur social media ke zariye muashray tak pohanchegi. sab se darkhwast hai ke agar kisi ko khushi ka izhaar karna bhi ho to woh apne ghar mein zaati pooja path, bhajan karkay masroor hon. kisi bhi qisam ki raye ka izhaar karne ki bajaye apne bhaktoun aur sathiyon ko muashray mein aman barqarar rakhnay ke liye hosla afzai karen.

RSS aur VHP ke Aala sathi zaraye ke mutabiq singh ne bhi muashray mein neechay tak yeh paegham diya hai ke Supreme court ke faislay par kisi ki haar ya jeet ke tor par tabsarah nah ho. agar mawafiq faisla aata hai to usay sirf sach aur insaaf ke haq mein faisla keh kar tahhaamul badta jaye. usay hindu aur musalman ke darmiyan firqa waranah rang dene se bachaaya jaye. sirf yahi samjha jaye ke ek tareekhi ghalti ko theek kiya gaya hai.

Unhon ne kaha ke agar bar-aks faisla aata hai to bhi Hindu Samaaj mukammal tahhaamul bartega aur usay Supreme court ki badi bench mein challenge karne ya parliment mein qanoon banwane ki koshish karne jaisay adalti aur aaeni rasta par hi chalayga. is barey mein raye aama tayyar karega lekin kisi bhi haalat mein ishtial ya afratafri ko hawa dene walay rukh ko nahi apanega. unhon ne yeh bhi kaha ke ayodhya ka faisla anay ke baad kasha ya mathura ya hamla aur ki taraf se todey gaye deegar mandiroun ke barey mein bayan dene ya behas shuru karne ki bhi koi zaroorat nahi hai.

Ye poochay jane par ke ram mandir ke haq mein faisla anay par musalmanoun ke liye kya paegham jayega zaraye ne kaha ke singh ka khayaal hai ke hindustan ke musalmanoun ko samjhna hoga ke unke baap dada Mahmood Ghaznavi , Mohammad Ghori ya Babar jaisay hamla-aawar nahi hain. un hamla awaron se bohat pehlay hi Islam hindustan mein aa chuka tha aur hindustan ki pehli masjid paighambar islam hazrat Mohammad ki zindagi ke douran hi kerala mein banai gayi thi. kerala ke zila trishur mein waqay Cheraman Juma  masjid apni secular nazriye ke liye mashhoor hai.

Zaraye ke mutabiq Ghaznavi , Ghori aur babar ko aaba ajdaad maan-ne walay nazriya ne hi Pakistan banwaya hai. jab hindustan mein rehne walay musalmanoun ne Pakistan ko mustard karkay wahan ki bajaye hindustan mein hi rehna pasand kiya to inhen Pakistan ki tashkeel ke nazriaat se bhi kinara karliya.

Unhon ne yeh bhi kaha ke musalmanoun ke liye yahi pegham hai ke one nation one peoples aur mazhab unki shanakht nahi hai balkay hazaron saal purani Saqafat aur virsay hi unki shanakht hai.

Zaraye ne ye bhi kaha ke unki jad-o-jehad musalmanoun se nahi hai balkay hamla awaron ko poojnay ya hero maan-ne walay nazriaat se hai. hum musalmanoun ko hamla awaron ki bajaye hindustan ke saqafati virsay se munsalik karne ke haq mein hain. unhon ne ram mandir tehreek ko saqafati ghulami se nijaat ki tehreek bataya aur kaha ke ayodhya mein ram mandir ki taamer ka kaam to 1947 mein somnath ke mandir ke sath hi hojana chahiye tha lekin ab 72 saal baad iske hal ki umeed jaagi hai. –YTN STAFF