India

Ayodhya case se mutaliq Supreme Court ke faislay se qabal, Ayodhya mein 10 Dec tak section 144 ka Nifaz.

By News Desk Roman Urdu

October 14, 2019

New Delhi : Ayodhya case se mutaliq Supreme Court ke Faislay se qabal kisi bhi Nakhushgawaar waqea ko taalne ke liye zila intizamia ney ayodhya mein 10 decemeber tak dafaa 144 nafiz kar diya hai. Ayodhya ke DM ke jari kardah hukum ke mutabiq, shehar mein chaar se ziyada afraad jama nahi ho saktay hain. is ke sath hi, zila mein drone ke istemaal par kisi bhi terha ki filmi rerecording par pabandi aaed kar di gayi hai.

Wazeh ho ke, Supreme Court bench ney is muamlay mein adalti karwai mukammal karne ke liye waqt ke had ka jaiza liya tha aur is ke liye 17 October ki had muqarrar ki thi. Dasehra ki hafta bhar ki tateel ke baad, ayodhya ke raam janam bhoomi babri masjid araazi tanaza case ki samaat Supreme Court mein peer ko aakhri marhale  mein daakhil hogi aur adalat ka Aaeen bench 38 win din is case ki samaat kerega. Batadein ke Supreme Court 17 November ko mazkoorah ayodhya araazi case mein apna faisla sunanay wali hai, jo Cheif justice Ranjan Gogoi ki khid maat ka aakhri din hai .

Cheif justice Ranjan Gogoi ki sarbarahi mein paanch judges ke Aaeen bench ney salisi ke amal ko is pecheeda masle ka qabil fakhr hal talaash karne mein nakaam honay ke baad 6 August se case ki rozana samaat ka aaghaz kiya. Alahabad High Court ke 2014 ke faislay ke khilaaf Supreme Court 14 apiloun ki samaat kar rahi hai .

Alahabad High Court ney apne is faisle mein ayodhya ki 2. 77 aekar araazi ko teen firqoun yani Sunni Waqf board, Nirmohi akhadha aur Raam janam Lalla mein masawi taor par taqseem kar diya tha .