India

Ayodhya Case ka 4 haftoun mein faisla dena ek karishma hoga : Chief Justice

By News Desk Roman Urdu

September 26, 2019

New Delhi : Ayodhya case mein samaat ke douran, chief justice Ranjan Gogoi ne ek baar phir kaha hai ke 18 october tak samaat khatam honi chahiye.

Unhon neh is case ke fariqain ko hukum diya hai ke woh 18 october tak behas poori karlen. unhon neh kaha ke samaat ke liye ab ek din ki bhi towsee nahi ki jayegi.

chief justice ne kaha ke 18 october ke baad ek din bhi izafi nahi hai. lehaza, fariqeen ko samaat ko is muqarara waqt ke andar mukammal karna chahiye. is ke baad judges ko faisla likhnay ke liye 4 haftay milinge. unhon neh kaha ke agar hum 4 hafton mein faisla dete hain to yeh ek karishma hoga. lekin agar samaat 18 october tak khatam nahi hoti you faisla mumkin nahi hoga.

Ahem baat yeh hai ke isse qabal bhi chief justice neh kaha tha, hamein umeed hai ke hum Ayodhya ram janam bhomi case mein samaat 18 october tak mukammal kar lenge. is ke liye hum sab ko mushtarqa koshishen karni hogi. is ke baad judges ko faisla likhnay ke liye 4 haftay milinge. agar fareeq salisi sameit deegar tareeqon se maamla taye karna chahtay hain to woh kar sakte hain. fariqain ko samjhota karkay adalat ko batana chahiye.

chief justice ki sarbarahi mein 5 judges par mushtamil ek dastoor bench is muamlay mein rozana samaat kar raha hai, jis mein hindu aur muslim partiyan ayodhya mein is Mamley mein 2.77 acre mutanazia araazi ki milkiyat ke husool ke liye ek dosray ke davoun ke zareya maang kar rahay hain. is silsila mein 32 dinoun se rozana samaat jari hai. –YTN STAFF