Hyderabad

Awam Ke Taawun Se Ab Ghair Mijaz Imaratein Munahdam Kar Di Jayengi

By News Desk Roman Urdu

April 27, 2019

Hyderabad:  Shehar-e-Hyderabad mein ghair mijaz tamirat aur imaartoun ke khilaaf sakht tareen iqdamaat karne ke liye greater Hyderabad municipal Corporation (GHMC) ne Asri technology ka rasta ikhtiyar karliya hai, jis ki madad se GHMC ne ek app mutarif kiya hai jis ke zariye woh awam ki madad haasil karte hue na sirf shehar mein ghair mijaz imaartoun aur tamirat ki rok thaam ke iqdamaat ka faisla kiya hai balkay apne muhallay mein honay wali ghair mijaz tamirat ki tafseelaat GHMC ko faraham karne walay shehri ki shanakht bhi posheeda rakhi jaye gi .

GHMC ki janib se un Un-authorise construction information managment system (UCIMS) app mutaarif kiya hai aur awam is App ko kisi bhi smart phone mein download kar satke hain. is app ke zariye shehri apne muhallay aur ilaqay mein honay wali ghair majaz tamirat aur imarat ki tasweer letay hue usay Upload kar satke hain jis ke baad GHMC ke hukkaam ghair mijaz tamir ke khilaaf iqdamaat karenge.

GHMC ke additional commissionaire ( IT) Musharraf Ali Farooqi ne kaha hai ke mazkoorah app ke zariye GHMC shehrion aur apne town planning wings ke darmain ek rabita qaim karna chahta hai jis ke zariye awam apne muhallay mein ghair mijaz tamirat aur imaarton ki tasweer aur maqam ka naam jaisay hi Upload karenge mutaliqa ohday daar iski tafseelaat haasil karne ke baad shikayat kardah maqam aur imarat ka muaina karte hue is ke maalik ko tafseelaat faraham karne ke liye notice jari karenge aur agar tamirati kaam ya imarat ghair mijaz qarar payi to phir usay Munahdam kardiya jayega .

Additional commissionaire Musharraf Ali Farooqi ne mazeed kaha ke UCIMS istemaal karte hue shehrion ko kisi bhi qisam ka khauf khanay ki zaroorat nahi hai kyunkay yeh app mehfooz honay ke alawa is ke zariye jis maqam ya imarat ki shikayat ki jayegi iski shikayat karne walay shehri ki shanakht posheeda rakhi jayegi jis se yeh maloom nahi ho payega ke ghair mijaz imarat ya tamirat ke khilaaf kis shehri ne shikayat ki hai. awam ki madad se ghair mijaz tamirat aur imaartoun ke khilaaf sakht iqdamaat karne mein GHMC ke town planning shoba ko kaafi faida haasil hoga kyunkay mehakma mein amlay ki matlooba tadaad nah honay ki wajah se har ghair majaz imarat tak GHMC ki rasai mumkin nahi ho rahi hai .

Ab umeed ki jarahi hai ke awam jab khud apne muhallay ki ghair majaz tamirat aur imaarton ki tafseelaat hukkaam ko faraham karenge to GHMC ka kaam aasan hoga kyunkay aam tor par town planning wings ghair mijaz tamirat aur imaartoun ke malkaan ke khilaaf 3 notice jari karta hai lekin aam tor par ek hi notice imarat ke maalik tak pohanch paati hai jabkay deegar 2 notice mukhtalif wajohaat ki binaa par mutaliqa fard tak nahi pahunchti. umeed ki jarahi hai ke UCIMS app aur awam  ke taawun se ab yeh GHMC ka ghair majaz tamirat aur imaarton ke khilaaf inhedami karwai aasan hogayi . – YTN STAFF