Hyderabad

Awaami Hamal Wo Naqal Ko Tarjeeh Dene Ka Mashwara Mazhaka Khez

By News Desk Roman Urdu

July 20, 2019

Hyderabad : Shehar-e-hyderabad ki fizai aaloodgi mein izafay se nah sirf awam ko pareshani la-haq hai balkay Telangana state pollution control board ( TSPCB ) nay intibah diya hai ke hyderabad ki fazai aloodgi mein izafay ki wajah se awam mein amal tanaffus aur phephdoun ke amraaz ka khadsha barh chuka hai.

Telangana state pollution control board ki janib se jari kardah ek bayan mein kaha gaya hai ke shehar-e-Hyderabad aur is ke atraaf ke ilaqoun mein gaadiyoun ki tadaad mein taizi se izafay ki wajah se hyderabad ki fizai aaludgi mein izafah dekha ja raha hai jo kay awam ke liye tashweesh ka baais hai. fizai aloodgi mein izafah ki wajah se amal tanaffus aur pehphdoun ke deegar amraaz mein izafah dekha ja raha hai jis ki wajah se mutaliqa hukkaam nay awam ko mashwara diya hai ke woh woh gadiyon mein CNG ya LPG jaisay mahol dost eendhan ka istemaal karen jo ke ke fazai aloodgi mein kami mein apna kirdaar ada karte hain.

Is ke alawa hukkaam nay awam se bhi appeal ki hai ke woh apni infiradi aur zaati gaadi ke bajaye awaami hamal wo naqal ke zaraye istemaal karne ko tarjeeh den kyunkay sadkon par gadhiyon ki tadaad jitni kam hogi isse traffic jam ka masla kam honay ke alawa fizai aloodgi par qaboo panay mein madad miley gi.

Telangana state pollution control board ki janib se di janay wali yeh tajweez ek Tarfah karwai ka nateeja mazhaka khaiz dikhayi deti hai kyunkay shehar hyderabad mein aisay ilaqay hain jahan se dosray ilaqon tak rasai ke liye awaami hamal wo naqal ki raast sawariyan moujood nahi hain. is khusoos mein izhaar-e-khayaal karte hue Secunderabad ke Farhat Khan nay kaha ke Telangana state pollution control board ki janib se jo tajweez di gayi hai is se qabal is mehakma ko hyderabad ke deegar mehakma jaat ke sath mil kar ek mo-asar mansoobah tayyar karna ziyada behtar hota.

Mehakmay ki janib se awam ko tajweez day di gayi hai ke awaami hamal wo naqal aur sarkari sawariyoun ka istemaal kiya jaye lekin agar koi fard qadeem airport se chaar minaar janay ka iradah karta hai to is safar ke liye nah koi raast bas hai aur nah hi MMTS ka koi intizam hai aur isi terhan haliya dinon mein muta-arif kardah hyderabad metro rail ka bhi yahan se koi raast nazam nahi hai to kis tarhan phir awam sarkari sawariyoun ka istemaal kar sakte hain. yeh sirf ek misaal hai jabkay naye shehar se puranay shehar hyderabad ke ahem muqamat ko jodnay ke liye raast buses , trains aur deegar sawariyoun ka koi mo-asar nazam nahi hai. pollution control board, GHMC, are RTC aur is tarhan ke deegar mutaliqa mehakma jaat ko sab se pehlay ek mo-asar mansoobah tayyar karne ki zaroorat hai jis ke baad is tarhan ki tajaweez awam ko paish ki jaye to is ka behtar nateeja haasil ho sakta hai. –YTN STAFF