India

Auto Driver ko 32,500 aur scooter sawaar ko 24,000 ka jurmana

By News Desk Roman Urdu

September 05, 2019

New Delhi:  Agli martaba jab aap apni gaadi ki dastawizaat ghar par bhool jayen ya seat belt lagana ya helmet pehnana bhool jayen to aap ke jaib par bomb girsakta hai aur shayad aap ko ek hi din mein traffic qawaneen ki khilaaf warzi mein 35 taa 50 hazaar rupay ka jurmana ada karna padh sakta hai, jee haan aap ne durust padha hai 35 taa 50 hazaar rupay jurmana. jab itwar se new motor vehicle act qanoon nafiz hua hai is ke baad 24 ghanton ke douran do phaiyon par sawaar 2 afraad ko helmet nah pahannay aur dastawizaat nah rakhnay par 24 aur 23 hazaar ke alawa 32,500 rupay jurmana aed kiya gaya hai.

Bhaari jurmanon ke yeh dono hi mamlaat mein Gurugram traffic police ne ek hi jagah par Aa-ed kiye hain aur yeh jagah police commissionaire ke daftar se 500 meter ke faaslay par zilai adalat ke qareeb hai.

Delhi geeta colony ka rehaishi 35 sala Dinesh ke ishtihar ke silsilay mein apni honda Activa par Gurugram adalat gaya tha. subah 11 bajay ke qareeb ghar wapsi ke douran usay helmet na pehannay par traffic police ne rokk liya aur apne driving license aur gaadi ke deegar dastawizaat paish karne ki hidaayat di aur pata chala ke woh tamam dastawizaat apne ghar par hi bhool gaya hai.

Unhoun ne apni pareshani sunaate hue kaha ke jab woh dastawizaat ghar par bhool jane ki baat police ko di to police ne 15 minute mein dastawizaat paish karne ki hidaayat di aur itnay kam waqt mein dastawizaat paish karna namumkin tha kyunkay yeh nai Delhi mein waqay is ke ghar par they. is ke baad baghair license ke gaadi chalanay ki Padaash mein 5000, registration certificate ( RC ) nah honay ki Padaash mein 5000, insurance ( 2 hazaar rupay ), aloodgi certificate ( 10 hazaar ) aur Helmet nah pahannay ki Padaash mein ( ek hazaar rupay ) jurmana aaed kiya gaya is tarhan Majmui tor par usay 23 hazaar rupay jurmana ada karna pad raha hai. tarameem se pehlay un tamam qawaneen ki khilaaf warzi par usay sirf 2700 rupay ada karne padte they.

Dosray din isi tarhan ke ek waqeye mein Gurugram ke Jekampura ka rehaishi Amit apne scooter par apne dost ke sath Rajiv chowk ki taraf jaraha tha ke helmet qanoon ki khilaaf warzi par is par 24000 rupay jurmana aed kiya gaya, jis mein ek hazaar rupay gaadi par peechay bethnay walay ki janib se Helmet nah pahannay ki Padaash mein aed jurmana tha. Gurugram traffic police ne auto driver ke 32,500 rupay ka ek bhari jurmaana aaed kiya hai kyunkay is auto walay ne Sikandarpur ilaqay mein signal todh kar agay badh gaya tha.

Challans mein kayi guna izafah ki lehar ka asal maqsad trafik qawaneen ki khilaaf warzi karne walay par girift mazboot karna hai lekin doosri janib ghareeb awam par yeh challans ziyada bojh nahi balkay gaadi farokht karne ki wajah banti dikhaee day rahi kyunkay auto driver par jo chalaan kya gaya hai woh gaadi farokht karne se haasil honay wali raqam ke qareeb hai. –YTN STAFF