Vienna : Ek janib duniya bhar ke mumalik mein muslim khawateen ke parday par pabandi aed karne mein kisi nah kisi ghair mutaliqa waqea ya haadsay ko haath se jaanay nahi day rahay hain aur koi nah koi farzi bahana banatay hue burqa aur naqaab par pabandi Aayed karne mein ek dosray par Sabqat le jarahay lekin un tamam na munasib halaat mein bhi kayi mumalik mein chand aisi muslim tanzmin bhi jo kay apne bunyadi huqooq ke liye hukoomat se ladnay mein apni tawanai sarf kar rahi hain aisi hi ek khabar Austria se masool horahee jahan muslim tanzeem naqaab par pabandi ke khilaaf apne huqooq ki ladai ka aaghaz kardiya hai .
Austria mein musalmanoun ki numainda tanzeem nay primaray schoolon mein scarf pehannay ki pabandi ka qanoon adalat mein challenge karne ka faisla karliya. reports ke mutabiq aastryayi wazeer e azam naay haal hi mein primaray school mein scarf pahannay ki pabandi ka qanoon Manzoor kiya tha .
Austria ki hukoomat ke mutabiq qanoon ki ro se pabandi ka itlaq sirf musalmanoon par hoga, jabkay sukh aur yahodi mukammal mazhabi azadi ke sath patka aur caps pehan sakenge. Austria ke official muslim community tanzeem ( EIGO ) nay hukoomati faislay ko sharamnaak aur mazhabi azadi par barah e raast hamla qarar diya. report ke mutabiq tanzeem nay mujawaza qanoon ko aaeni adalat mein challenge karne kaasharh diya hai .
khayaal rahay ke Austria mein taqreeban 7 laakh nafoos par mushtamil musalmanoon ki abadi hai jo majmoi abadi ka taqreeban 8 feesad hai. musalmanoon ki numainda tanzeem naay muaqqaf ikhtiyar kiya ke primaray schoolon mein sir ke scarf par pabandi musalman ladkiyon ke liye tafreeq ka sabab bani gi .
wazeh rahay ke aastryayi hukoomat naay guzashta baras April mein yeh pabandi Aayed karne ka ishara diya tha taham woh nursery classes se sir kay scarf par pabandi ki khwahish mand thi lekin mulk bhar mein nursery ki classes sobai hukoomaton ke matehat hain aur is maqsad ke husool ke liye aeen mein tabdeeli ki zaroorat pad gai .
Austria ke ilawa deegar kayi Europi mumalik mein bhi scarf ke khilaaf iqdamaat uthaye ja chukay hain. is noiyat ka waqea France mein paish aaya tha jis mein francesi khatoon ko scarf pahannay par mulazmat se bar tarf kardiya gaya tha. baad azan Europi union ki adalat ke musheer nay muslim francesi khatoon ko sir par scarf pahannay par mulazmat se bar tarf karne ko ghair qanooni tajweez kiya tha .
Europi union ki adalat ke qanooni musheer advocate general nay ek tehreeri tajweez mein kaha tha ke muslim khatoon ko scarf utaarnay se inkaar par mulazmat se bar tarf karna ghair qanooni hai, kisi ke sath bhi mulazmat mein scarf pahannay par imtiazi sulook rava nahi rakha ja sakta .
Muslim khatoon Asima Bogonoi France ki ek information tecnology ( IT ) company mein designer engineer ke ohday par Faiz theen, unko douran-e-mulazmat scarf utaarnay se inkaar karne par bar tarf kya gaya jis ke baad muslim khatoon apna muqadma le kar francesi adalat pohanch gayeen aur francesi adalat nay yeh muqadma court of justice ( ECJ ) ke hawalay kardiya tha. –YTN STAFF