Hyderabad

Assembly ki tahleel ke khilaaf darkhast HC mein kharij

By Abdul Aziz

September 12, 2018

Hyderabad. Hyderabad High Court baraye Telangana o Andhra Pradesh ney aaj Telangana Rashtriya Samiti ki janib se riyasati Assembly ki tahleel ke khilaaf daayir kardah darkhwast ko kharij kardiya hai. Yeh darkhwast Nalgonda ke Advocate Mr. Rapolu Bhaskar ney Telangana Assembly ki tahleel ke dosray din High Court mein darkhwast daayir karte huwe istedua ki thi ke Election Commission of India ko hidayat di jaye ke riyasati Assembly ki 5 sala miyaad ki takmeel se qabl intekhabaat na karwanay ki hidayat di jaye. Advocate ney apni darkhwast mein bayan kiya tha ke paishgi intekhabaat se awaami khazana par bhaari maali bojh aayed hoga aur TRS ney riyasat mein qabl az waqt intekhabaat ke liye koi mouzoon wajah nahi batay hai. Unhon ne yeh bhi kaha ke riyasati Assembly ke intekhabaat, aayindah saal munaqqid shudni Lok Sabha ke intekhabaat ke saath karwaye jaaney ki soorat mein 200 crore rupay ki awaami raqam ki bachat hogi. Yaad rahay ke riyasati Assembly ki miyaad aayindah saal May tak thi taham Sadar Telangana Rashtriya Samiti o Chief Minister Mr. K Chandrashekar Rao ney aayindah baras Lok Sabha intekhabaat ke sath riyasati Assembly ke bayak waqt intekhabaat se guraiz karne ke liye riyasati Assembly ko Jaria mah ke awayil mein tahleel kardiya tha takey Election Commission ko saal ke avaakhir mein Mulk ki deegar chaar ryastaon ke sath Telangana Assembly ke intekhabaat karwanay mein aasani hojaye.