India

Assam mein NRC ki fehrist jari, 19 lakh log huwe bahar

By News Desk Roman Urdu

August 31, 2019

Guwahati: Assam mein sakht security ke darmiyan hafta ki subah National Register of Citizens (NRC) ki final list jari kar di gayi hai. Aur taqreeban 19 lakh afraad ko is fehrist se kharij kardiya gaya hai. Yeh fehrist hafta ki subah 10 bujey online ke zareya jari ki gayi. Jis ke baad Assam mein ghair qanooni tor par reh rahay ghair mulkion ki shanakht karne ke mashq ki 6 saal se chal rahi qiyaas aarayyon ka ekhtataam hogaya.

NRC coordinator Pratik Hajila ney bataya hai ke is fehrist mein 3,11, 21,004 ko shaamil kya gaya hai, jabkay 19,06,657 afraad ko kharij kar diya gaya hai. Security ke paish e nazar kayi ilaqon mein dafaa 144 bhi nafiz kar di gayi hai. Jin logon ke naam hatmi fehrist mein nahi hon ge un ke liye bhi intizamaat kiye gaye hain.

Wazeh ho ke riyasat mein Supreme Court ke hukum par NRC update karne ka amal 2013 mein shuru kiya gaya tha. NRC ke darkhwast farmon ki vasuli ka amal May 2015 ke aakhir mein shuru huwa aur 31 August 2015 ko khatam huwa. Majmoi tor par 3,30,27,661 afraad ne 68,37,660 darkhwaston ke zareya apne naam darj kiye.

NRC update ka amal bohat hi mushaqqat ka amal hai jis mein taqreeban 52,000 reyasti hukoomat ke ahelkaar taweel muddat tak is par kaam kar rahay hain. Fehrist mein shaamil karne aur kharij karne ke saaray faislay yeh qanooni afsaraan hi letay hain. Is poooray amal ko ahtiyat ke sath aur shafaaf andaaz mein anjaam diya gaya hai.

Musavida NRC jo pichlle saal shaya huwa tha, mein 2,89,83,677 afraad fehrist mein shaamil karne ke ahal paye gaye. ittila ke mutabiq, is ke baad 36,26,630 afraad ki janib se un ke ikharaaj ke khilaaf daaway mousool huwe hain.

Hukoomat ney yaqeen dehani karai hai ke final NRC se bahar honay walay afraad ko hirasat mein nahi liya ja ye ga aur ghair mulkion ke tribunal (FT) mein un ke kareej honay ke khilaaf appeal kar sakte hain aur is ke baad aala adalaton mein bhi ja satke hain.

Additional Chief (Dakhli o Siyasi) Kumar Sanjay Krishnan ney kaha ke ”Ye log pehlay ghair mulkion ke tribunal (FT) se rujoo kar satke hain aur FT ke faislay se mutmayeen nah hon to aala adalaton mein ja satke hain.

Aasam hukoomat is terha ki apilon se nimatnay ke liye riyasat mein 400 ghair mulkion ke tribunals khayaam kere gi. Krishna ney mazeed kaha ke final NRC se khareej afraad ko zilai qanooni khidmaat Authority ( DLSA) ke zareya qanooni imdaad bhi faraham ki jaye gi.