India

Assam mein curfew mein 7 ghantoun ke liye narmi

By News Desk Roman Urdu

December 14, 2019

Gowahati: Assam mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAB ) ke khilaaf ehtijaj ke baad Gowahati mein  nafiz curfew ko haftay ki subah 9 bajey se 7 ghantoun ke liye narmi ki gayi. Jis ke baad shehar mein dukane aur bazaar khul gaye. Jabkay school band rahay. Khanay peenay ki ashya ki kharidari ke liye loog dukanoun ke agay qataar mein khaday rahay, Aur baday tadaad mein karen Petrol Pomps par jama hugaye.

Shehriat tarmeemi Act ke khilaaf par tashadud muzahiroun ke douran kam az kam 2 afraad ki mout ho gayi. Jumaraat ko hazaroun afraad ne Curfew ko radd kar diya aur sadkoun par nikal aeye, Aur mushtael muzahireen ne ek rukan Assembly aur ek circle officer ke ghar ko aag lagadi, Jabkay hukoomat ne 2 police afsaraan ko moattal kar diya.

All India Students Union ( AISU ) Jo muzaheroun ki sar brahi kar rahi hai, 16 december se riyasat ke tamam zilai head quarter mein 3 roza ijtamayi satiya grah ka elaan kiya hai. AASU ke cheif advisor Samujjal Bhattacharya ne jummay ke roz ”Sheheriat tarmimi qanoon“ mansoog karen ya mujhe giraftar karen ka naara lagaya. Bhattacharya ne kaha ke riyasat bhar mein pad yatra aur ehtajaji ijlaas ka ineqad kiya jaye ga aur mutanazia qanoon ke khilaaf ishtihar lagaye jayenge.

Darin asna, Hakkaam ne muzahiroun ki wajah se hawai adoun, Railway stations aur Internet Bus terminal par phase hue senkdoun musafireen ki madad ke liye iqdamaat uthaye hain. Ek ohdedar ne bataya ke Buses, phansay hue musafiroun ko shehar ke mukhtalif ilaqoun mein pohnchayin gi. –YTN STAFF