Health

Asifabad juzam aur TB ki lapeit mein

By News Desk Roman Urdu

August 27, 2019

Hyderabad : Riyasat Telangana ke zila Asifabad mein TB aur jazam ke amraaz mein izafah reyasti hukoomat ke liye tashweesh ka baais bani hui hai.

Riyasat Telangana mein Asifabad aisa dosra zila ban chuka hai jahan jazam ke mareezoun ki tadaad din bah din badh rahi hai. is marz par qabu panay ke liye hukoomat ki janib se ghar ghar surway karne ka programme banaya gaya hai taakay har ghar mein mojood jazam aur TB ke mareezon ka pata lagaya jaska aur is surway ke zareya deegar bimarion mein mubtala afraad ki nishandahi bhi ki jasakay.

Rawan hafta shuru hue is surway ke silsila 13 September taq jari rahega. maazi ke baraks zila Asifabad mein ab juzam aur TB ke mamlaat mein izafah horaha hai. reyasti hukoomat ki janib se un amraaz par qaboo panay ke liye kayi ek programs kiye jarahay hain jis mein awam ko sahet mand zindagi guzarnay ke liye shaoor beydaari programme ke alawa mehangay adwiyaat ki farahmi bhi hai.

Zila ke arbab majaz ke mutabiq Asifabad mein juzam aur TB ke amraaz mein izafah ki aik wajah yeh bhi hai ke mareezon mein aksariyat ne dawaon ka istemaal tark kardiya hai, halaanke hukoomat ki janib se mareezon ko adwiyaat istemaal karne ki hosla afzai ki jarahi hai.

alawa azeen khangi dawakhane aur ohdedar hukoomat ki janib se ki jane wali appeal par chasham poshi kar rahay hain.

Sabiq mein jo adaad wo shumaar paish kiye gaye they is ke tehat zila mein 130 juzam ke aur 690 TB ke mamlaat darj hue they jis ke liye 760 teams tashkeel ki gayi hain taakay ghar ghar surway karte hue subah 6 : 30 taa 9 : 30 bujey un amraaz mein mubtala afraad ki tafseelaat haasil ki jasakay.

Alawa azeen is team mein khidmaat anjaam dainay walay afraad yomiya 75 rupaye faraham kiye jarahay hain taakay woh apne ilaaqon mein juzam aur TB ke mareezon ka sahih data jama kar sakay jiske baad is par behtar iqdamaat kiye ja sakain. –YTN STAFF