India

Asad Owaisi ne Supreme Court se CAA aur NRC gath jor ka parda uthany ka mutalba kiya

By News Desk Roman Urdu

December 14, 2019

New Delhi: The All India Majlis-e-Ittehad-ul-Muslimeen ( AIMIM ) ke sarbarah o rukan parliament Hyderabad Asaduddin Owaisi ne kaha ke ”Shehiriyat Tarmeemi qanoon ( CAA ) ke qaumi register of Citizen ( NRC ) ke sath napak gath jood huva hai.

Owaisi ke mutabiq, NRC ka maqsad hindustan mein ”Ghir qanooni tarikeen watan “ki nishandahi karna hai. Owaisi ne adalat se guzarish ki ke wo CAA. NRC gath joor par se parda athayin, Jo article 21 ke tehat har shakhs ko sirf shehrioun ke liye dastyab zindagi ke haq aur zaati azaadi ki raah mein rukawat ban sakta hai.

Unhoun ne advocate Nizam Pasha ke zareya dair darkhwast mein kaha ”Ghir qanooni tarikeen watan ko bhi ye haq haasil hai ke wo qanoon ke zareya qaim kardah tareeqakar ke siwa apni zaati azaadi se mahroom na hon“. NRC par hamla karte hue Owaisi ne kaha ke ”NRC mashq, Jo Assam mein jari hai aur mulk ke deegar hissoun mein chalanay ki koshish ki ja rahi hai, Is ke nateejay mein afraad ki shanakht ”Ghir qanooni tarikeen watan“ ke tor par hogi.

CAA bek waqt hamsaaya 3 mumulk se aeye hue ghair qanooni tarikeen watan, Hindu, Sikh, Budh, Jain, Paarsi ya Isaai ko hindustan mein panah dainay ki koshish hai.

Owaisi ne hindustan ki sarzamen ke andar mojood har ek se kaha ke, Chahay wo mohajir hon ya shehri, Un ko apni shanakht ke nateejay mein unki izzat aur azaadi se mahroom kiye baghair musalman ki hesiyat se apni shanakht ka haq haasil hona chahiye. Unhoun ne ye bhi sawal uthaya ke Myanmar ko padusi mumulk ki fehrist mein kyun shaamil nahi kiya gaya.

Unhoun ne kaha ”Bartania hukmarani ke douran, Afghanistan ne kabhi bhi hindustan ka hissa nahi banaya, Jabkay Barma ( Myanmar ) is waqt bhi hindustan ka hissa tha, Jab hukoomat hind ka qanoon, 1935 mein nafiz huva tha. lehza, un tenun mumulk ke intikhab ki koi bunyaad nahi hai, siwaye is ke ke ye tenun hi Islami reastain hin“. –YTN STAFF