India

Article35A se khawateen aur dalitoun ke sath hua imtiyazi sulook : Hukoomat ki wazahat

By News Desk Roman Urdu

August 05, 2019

New Delhi : Punjab, maghribi Pakistan muhajreen, Gorkhas aur jammu wo Kashmir mein guzashta 6 dahaoun se muqeem ( dalitoun ) ko takleef ka saamna karna padh raha hai, kyunkay inhen riyasat ke bashindoun ke tor par qubool nahi kiya gaya.

Jammu Kashmir ko khusoosi haesiyat khatam karne ke barey mein jari kardah ek kitabche mein hukumat nay kaha hai ke 1957 se riyasat mein rehne walay ( Dalit ) jammu ke municipality mein jhadhu ban’nay par majaboor they aur inhen mustaqil rehaishi sanad ( pi are si ) nahi diya gaya hai .

Note mein kaha gaya hai ke is community  ke nojawan wakeel, Dr aur asatezah ki haesiyat se ahal hosakte hain, lekin woh PRC ki Adam moujoodgi mein sirf jhadu dainay walay ke ohday ke liye ahal hain.

Hukoomat ney kaha ke khawateen bhi, riyasat se bahar apna shareek hayaat muntakhib nahi kar sakti hain. Article35A ghair aaeni, imtiazi sulooq aur mutasib hai.

Article35A ki Wajah se jo pareshani paeda ho rahi thi is ki wazahat karte hue hukoomat ney kaha ke riyasat mein kaam karne walay hindustani intizami khidmaat ( IAS ) ke officers 30 se 32 saal ki khidmaat ke baad bhi makaan nahin khareed sakte hain. jammu wo Kashmir sarhad par zameen ka difaa karte hue zabardast qurbani dainay walay foujiyoun ko bator-e-muawza zameen ka ek tukda bhi nahi mil saka hai. –YTN STAFF