India

Article 370 Ko Kiya Gaya Khatam, Jammu & Kashmir Aur Ladakh Baninge Markaz Ke Zair-E-Intizam Ilaqay

By News Desk Roman Urdu

August 05, 2019

New Delhi : Jammu wo Kashmir mein kasheeda halaat ke douran aaj Article 370 aur Article35A ko hataya gaya. yeh article jammu wo Kashmir ko khusoosi riyasat ka darjaa deta tha. Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne  Rajya sabha mein isko hataane ka aelaan kiya. BJP taweel arsa se article 370 aur Article 35A ki mukhalifat karti aayi hai.

Wazeh rahay ke aaj oppostion ke hungame ke beech wazeer-e-dakhla Amit Shah ne jammu wo Kashmir se mutaliq aain ke article 370 ko hatanay ki qarardad aur jammu Kashmir tashkeel nou bill paish kiya. Is bill ke zareya hukoomat ne jammu wo Kashmir ko do hissoun mein taqseem karne ka faisla kiya hai. is se ladakh ko alag karkay markaz ke zair-e-intezam ilaqa bananay ki tajweez paish ki gayi.

Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne aewaan mein is bill ko paish karte hue kaha ke jammu wo Kashmir ko do hissoun mein taqseem kiya jayega. aur ladakh ko markaz ke zair-e-intizam ilaqay ka darjaa diya jayega lekin iski qanoon saaz assembly nahi hogi.

Rajya sabha mein Amit Shah ne kaha ke article 370 ka sahara lekar teen khandanoun ne saloun tak jammu. Kashmir ko loota hai. Amit Shah ne kaha, oppostion leader Ghulam nabi azad jee kehte hain ke Article 370 jammu Kashmir ko Hindustan se jodta hai, yeh sahih nahi hai. Maharajah Hari Singh ne 27 october 1947 ko Hindustan ke sath intezam par dastakhat kiye, lekin Article 370, 1954 mein muta-arif karaya gaya tha.

Amit Shah ne kaha Article 370 ko khatam karne mein ek second bhi nahi lena chahiye. hukoomat ke is faisla par congress leader Ghulam Nabi Azad ne kaha ke woh 2-3 arkaan-e-parliment ki janib se aain ki copy phadnay ki mazammat karte hain. hum aaen hind ke sath khadey hain. hum Hindustan ki hifazat ke liye apni jaan ki baazi bhi laga denge.

Lekin aaj BJP ne aeen ko maar dala hai. doosri taraf Bahujan samaaj party ( BSP ) ne jammu Kashmir se article 370 ko hatanay ke faisla ki himayat ki hai. BSP Rajya sabha ke arkaan-e-parliment Satish Chandar Mishra ne kaha, unki party Article 370 ko khatam karne ki mukammal himayat karti hai. Article 370 ko hataye jaane ke baad mukhtalif siyasi qaideen ki janib se radd-e-amal samnay aarahay hain. –YTN STAFF