Hyderabad: BJP ke intekhabi manshoor mein jo mutanazia mozuaat hamesha hi sehre-e-fehrist rahay un mein Ram mandir, Hindu rashtra, Babri Masjid, Talaq-e-salasa, aur Kashmir ke tanazir mein Article 370 qabil-e-zikar hain aur jaisay hi doosri miyad mein usay Rajya sabha mein itni aksariyat mil gayi ke woh opposition aur ehtijaj ke bawajood koi bhi bill Manzoor karwane ke muaqqaf mein aagai to is ney aqliyatoun ke khilaaf apne darena khwaboun ko haqeeqat ka roop dene shuru kardiya aur dekhte hi dekhte is ney Talaq-e-salasa ko qanoon bananay aur ab Article 370 ko khatam karne ka elaan kardiya hai.
Article 370 ko barkhast karne ke is iqdaam se chand din qabal se hi Kashmir mein surat-e-haal kasheeda hogayi thi aur is elaan se qabal waadi mein hazaroun izafi fouji tainaat kiye gaye. Wadi mein dafaa 144 nafiz kiya gaya jabkay hukkaam ney National Conference ke rehnuma Omar abdullah, Peoples Democratic Party ki mehbooba mufti aur Jammu Kashmir peoples conference ke sadar sajjad lone ko unke gharoun mein nazar band kar diya hai. dafaa 144 ke tehat Kashmir mein awam ki naqal wo harkat par pabandi aayed kardi gayi hai aur waadi ke tamam taleemi idaray bhi band kar diye gaye hain sitam baalaye sitam waadi mein mawaslati nizaam bhi mo-attal kardiya gaya, kyun aisa kiya gaya? hukoomat ka andaza hai ke jab kisi waday ki khilaaf warzi hogi to fareeq ka gham wo gosh fitri hoga, lehaza article 370 ke barkhast karne ko kashmiri kabhi qubool nahi karenge lehaza security ko sakht kardiya gaya. Hindustan ki azaadi aur phir Kashmir ke hindustan se ilhaaq ke baad se hi Article 370 ek mutanazia mauzo raha hai jis par ab BJP hukoomat faisla liya hai aur yeh faisla kiya Kashmir ke haq mein hai ya phir hukoomat ki mutlaq elananat ko aur mustehkam karne ki ek zabardast koshish hai yeh sab par ayaan hai.
Rajya sabha mein jammu wo Kashmir se Article 370 ko barkhast karne ke liye hukoomat ka sankalp patr paish kiya. Amit Shah ne kaha ke Kashmir ko khusoosi riyasat ka darja dene walay Article 370 ko hata diya gaya hai. ab iski sabhi shaqein nafiz nahi hongi. Amit Shah ne ewaan mein Kashmir ki tashkeel nou ki tajweez bhi paish ki. is elaan ke baad opposition ne ewaan mein zabardast hungama kiya. Opposition ka ilzaam hai ke hukoomat ne inhen is tarhan ke kisi bill ki pehlay ittila nahi di thi. Opposition ke ehtijaj ke bawajood Article 370 ko barkhast karne ka elaan kardiya gaya.
Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne Rajya sabha mein teen sankalp paish kiye. un mein se pehlay sankalp ko rakhtay hue Shah ne kaha ke Article 370 ko hatadiya gaya hai. Dosra Article 35 A ko bhi khatam kardiya gaya hai. teesra jammu wo Kashmir ko markaz ke zair-e-intizam ilaqa banadiya gaya hai aur ladakh ko jammu wo Kashmir se alag kardiya gaya hai. ab ladakh bhi alag markazi ke zair-e-intizam ilaqa hoga. halaanke jammu wo Kashmir mein assembly baqi rahaygi. is elaan ke sath hi jahan waadi mein gham wo gosh dekha gaya to doosri janib ladakh mein jashn ka mahol raha. BJP taweel arsa se Article 370 aur 35 A ki mukhalfat karti aayi hai. ab jabkay Hindustan mein ek tufaan se mahol hai to yeh janna zarori hai ke aakhir article 370 aur 35 A kiya hai ?, iske khtama se jammu wo Kashmir kiya asar padega?
Hindustan mein Inzamam ke baad jammu wo Kashmir ke maharaja Hari Singh ne is waqt ke Wazeer e Azam Jawahar lal nehru se jammu wo Kashmir ke siyasi taluqaat ko lekar baat cheet ki thi. is ijlaas ke nateeja mein dastoor-e-hind mein Article 370 ko shaamil kiya gaya. Article 370 jammu wo Kashmir ko khusoosi ikhtiyar deta hai. is article ke mutabiq Hindustan parliament jammu wo Kashmir ke maamla mein sirf teen shobo difaa, kharji mamlaat aur tally muwasilat ke liye qanoon banasakti hai. iske alawa kisi qanoon ko nafiz karwane ke liye markazi hukoomat ko reyasti hukoomat ki manzoori chahiye.1956 mein jammu wo Kashmir ka alag aien bana.
Article370 kiya hai ?
Jammu Kashmir mein Article 370 nafiz honay ke baad kiya cheze badal gayeen iski tafseelaat bhi kaafi ahem hain.
Jammu wo Kashmir ke shehrion ke paas dohri shehriat hoti hai.
Jammu wo Kashmir ki koi khatoon agar Hindustan ki kisi deegar riyasat ke shakhs se shadi karlay, to is khatoon ki jammu wo kashmir ki shehriat khatam hojayegi.
Agar koi kashmiri khatoon Pakistan ke kisi shakhs se shadi karti hai to iske shohar ko bhi jammu wo Kashmir ki shehriat mil jati hai.
Article 370 ki wajah se Kashmir mein rehne walay Pakistanio ko bhi hindustani shehriat mil jati hai.
Jammu wo Kashmir mein Hindustan ke tirange ya qaumi alamatoun ki be-hurmati jurm nahi hai. yahan Hindustan ki sab se adalat ka hukum qabil-e-qubool nahi hota.
Jammu wo Kashmir ka jhanda alag hota hai.
Jammu wo Kashmir mein bahar ke log zameen nahi khareed sakte hain.
Kashmir mein aqliati hindu aur sikhoun ko 16 feesad tafseelat haasil nahi hotay.
Article 370 ki wajah se jammu wo Kashmir mein RTI nafiz nahi hota.
Jammu wo Kashmir mein khawateen par Shariat qanoon nafiz hota hai.
Jammu wo Kashmir mein panchayat ke paas koi ikhtiyar nahi hai.
Jammu wo Kashmir ki assembly ki muddat-car 6 saal hoti hai jabkay Hindustan ke deegar reyaston ki assemblion ki muddat-car paanch saal hoti hai.
Hindustan ki parliament jammu wo Kashmir ke silsila mein bohat hi mehdood dairay mein qanoon banasakti hai.
Jammu wo Kashmir mein kaam karne walay chaprasi ko aaj bhi dhai hazaar rupay hi bator-e-tankhowa millti hai.
Is sorat-e-haal mein ek kashmiri is aaeni tarmeem ke baaray mein kiya sochta hai, aeen ki shaqq 370 ke khatmay se woh kaisay mutasir honge, unki shanakht aur muashi haalat par is ke kiya asraat muratab honge? yeh sawalaat ab har kisi ke zehan mein gasht kar rahay hain. hukoomat ke is faislay se kashmiri awam aur siyasi leades naaraz hain chunkay waadi mein curfew jaisa mahol hai lehaza is faisla ke khilaaf fouri koi rad-e-amal nahi hua lekin toofan ke aamad se qabal ki khamoshi se inkaar nahi kiya ja sakta hai. kashmiri awam ke janib se jo rad-e-amal media mein aaya hai is mein yeh baat saaf deekhayi de rahi hai ke kashmirion ka bharosa khatam hogaya hai kasmiri yeh maan-ne ko hi tayyar nahi hain ke Article 370 ka khtama durust hai. kashmiri usay nahi mantay.
Ab kashmiriyoun ka hukoomat se aitebaar uth gaya hai. aisa lag raha hai jaisay sab khatam ho gaya hai. yeh ek article of faith’ tha. yani yeh ek bharoosay ka mua-hida tha aur Hindustan ke sath ilhaaq kuch shartoun par hua tha aur is mein hamara khaas darjaa ek bohat badi aur ahem cheez thi. article 370 ke khatmay se kis ko faida ho raha hai? kiya isse kashmiryon ko koi faida ho raha hai? isi baat se andaza kar len ke is tarmeem ke itlaq ke liye kaisay iqdamaat kiye hain, kitney fouji Kashmir mein tanyat kardiye gaye, curfew laga diya hai, internet band kar diya hai, muwasilat ke tamam zaraye band hain. un sab iqdamaat se saaf zahir hota hai ke Kashmir ke log is ke khilaaf they aur khilaaf hain. is waqt koi radd-e-amal nahi dekh nahi lekin yeh sab pabandiyan aur curfew hataeyga to iska radd-e-amal samnay anay ka khadsha hai.
Article 370 ke khatmay se Kashmir ki maeeshat mein koi behtari aaye gi. maeeshat tabi chalti hai jab aman hoga, Article 370 ke khatmay se Kashmir mein aman aa nahi raha balkay bohat arsay ke liye aman qaim hi nahi hosakayga. maeeshat ke kisi bhi maahir ki raye lelen, woh yahi batayenge ke maeeshat ki behtari ke liye sab se ahem cheez hoti hai’ siyasi istehkaam’ aur jab riyasat siyasi tor par hi ghair mustahkam hojaye to baqi jitne shobay hain un mein sarmaya kaari kaisay aeyegi? sayahat par asr padney wala hai, kashmirion ki taleem aur kaarobar par kaafi asr padsakta hai, yeh kehna hai is article ke khatmay se Kashmir ki maeeshat behtar hojayegi yeh itna aasaan nahi hai kyunkay Article 370 ke khatam honay ke baad shayad waadi mein Aman ki soorat-e-haal aur kharab hogi kyunkay hukoomat is faislay ke zareya bairooni bashindoun aur companies ko sarmaya kaari ke mawaqay faraham karne ka sunehra khawab dekha rahi hai lekin jab tak waadi Kashmir mein aman nahi hoga wahan sarmaya kaari aur mulazmat ke mawaqay Paida karna aisa hai jaisay taiz barish mein geelay kapdoun ke khushk honay ki umeed karna. Bahar-e-Kaif article 370 ke khatama se Kashmir mein aman qaim hoga aur taraqqi hogi yeh khawab poora hoga ya phir waadi jo pehlay hi bad-amni ki Nazar hochuki hai iski yeh aag mazeed badhaygi yeh to anay wala waqt hi batayega. –YTN STAFF