Jurm

Arnab Goswami ki bolti band karne walay Kunal Kamra par pabandi, Saza ya zulm

By News Desk Roman Urdu

January 30, 2020

Hyderabad: Modi Media aur is ke chand maroof cheharoun ki is waqt awam mein koi qader nahi aur inhen paisoun ke liye TV par aisay ghair ahem mozuaat par garma garam behas karne ke liye ahem chehray maana jatay hain aur un mein hi mein shaamil ek naam Arnab Goswami ka bhi hai jo khud ko muhib watan, BJP ko mulk ki kher khuwa jamaat aur aqliati tabqay ko mulk dushman zahir karne mein koi kasar nahi chhodta hai lekin haliya dinoun mein tayyaray ke safar ke douran ek comedian ne Goswami se aisay sawalaat pooch daaley ke be chaaray TV par apna galah phaad phaad kar chekhnay walay ki zabaan par taalaa padh gaya.

Is waqea ki wajah se Standing Up comedian Kunal Kamra is waqt serkhyoun mein hain. Hawai safar ke douran un ka saamna Republic TV Journalist Arnab Goswami se hogaya tha aur unhoun ne tayyaray mein hi un se kuch aisay sawalaat kar daaley jis par Arnad ne khamoshi ikhtiyar karli, Lekin Kunal Kamra ke sawal ne Hindutwa zehniat rakhnay walay loogoun ko talmala kar rakh diya. Jab Kunal ne ye video apne Social Media Twitter par shaya kiya to zabardast tareeqay se Viral huva aur loog Arnab Goswami ka mazaaq bananay lagey lekin is Video mein Kunal Kamra ke ghair ikhlaqi rawayya ki tanqeed markazi wazeer baraye shehri huva baazi Hardeep Singh poori ne Media ke samnay ki jis ke baad maamla ne tole pakad gaya.

Dilchasp baat ye hai ke pehlay to Indigo Flight ( jis mein Kunal Kamra ne Video banaya tha ) Kunal par is compane ke tayyaroun mein safar par 6 mahinay ki pabandi aed kardi aur is ke baad 3 deegar Airline  Air India, Spice Jet aur Go Air ne bhi aindah Notice jari honay tak un ke liye hawai khidmaat par pabandi laga di. Chunkay Indigo ka hawala dete hue Modi kabeena mein wazeer Hardeep Puri ne deegar Airlines ko bhi mashwara diya tha ke wo bhi is terhan ki karwai karen, Is liye loog pooray muamlay ko isi tanazur mein dekh rahay hain lekin sab se bada sawal yahan par ye peda hota hai ke kya koi Airline fori tor par aisay faislay le sakti hai? Is silsilay mein qawaneen o zawabit kiya hain, Is par ghhor karne ki zaroorat hai.

Sach to ye hai ke Airline ko pehlay aisay maamloun ki jaanch ke liye ek subukdosh zila Judge ya session judge ki sadarat mein ek Internal committee tashkeel dainee hoti hai. Ye committee ek tafseeli tahaqeeq karti hai aur phir ye tey karti hai ke ye juraim ki satah 1, 2 ya 3 mein aati hai. Is ke ilawa faisla par pounchanay ke baad Airline ko Internal committee ko Appeal karne ke liye shakhs ko 60 dinoun ka waqt dena hota hai jis ke liye Guideline tayyar karne ki zaroorat hoti hai.

Shehri hawabazi se mutaliq jo qawaneen hain, Is ke mutabiq ghair ikhlaqi sulooq ( jismani tashadud ke baghair ) satah ek ka jurm hai. Pehlay satah ke juraim par 3 mahinay ki pabandi lagti hai. 6 mahinay ki pabandi sirf jismani tashadud ke waqeat ke liye hai. Samaji karkun Saket Gokhale ne shehri hawabazi ke zabtoun ke Screen short apne Social Media par shaya kiye hain. Sath hi unhoun ne RTI ki ek arzi daakhil ki hai aur waqea ke talluq se Air India ke qawaneen ke baarey mein poocha hai.

Saket Gokhale ne apne Twit mein likha hai ke Air India ke paas RTI ki ek arzi daakhil ki gayi hai jis mein zurori zabtoun par amal kiye baghair Airline ke zareya Kunal Kamra par lagai gayi manmani pabandi se mutaliq dastaweez maange gaye hain. Is pooray muamlay mein wazeer Hardeep Singh poori ke ajeeb o ghareeb kirdaar par shehri hawabazi wizarat se bhi jankari talabb ki gayi hai.

Kunal Kamra ki himayat mein kayi loog khaday hogaye hain aur un Airlines par sawal utha rahay hain jinhoun ne Kunal par pabandi aed kardi hai. JNU talba leader Kanhaiya Kumar bhi is fehrist mein shaamil hain ju Kunal ki himayat mein hain. Unhoun ne 2016 ke ek hawai safar ka tazkara karte hue kaha hai ke ek musafir ne Mumbai se Pune safar mein tayyarah ke douran un ka gala dabanay ki koshish ki thi. Kanhaiya ka muaqqaf hai ke baad mein unhein Airline ke mulazmeen ke zareya security maamla ka hawala dekar utaar diya gaya jis se wo wahan ek Programme mein shaamil honay ke liye ba zarea sadak Pune jaaney ke liye majaboor hogaye. –YTN STAFF