Jurm

Armoor Road par sadak haadsa. Nizamabad B.Tech taalib e ilm halaak

By Abdul Aziz

August 16, 2018

Hyderabad. Nizamabad zila mein aaj Ek indohnak haadsa mein B.Tech ka taalib e ilm halaak hogaya hai. Bataya jata hai ke 21 sala (VREC ka B.Tech ka taalib e ilm tha) Mohammad Abdul Aziz farzand janab Mohammad Abdul Shukoor saakin Ahmedpura Colony aaj subah car mein imthehaan likhnay ki gharz se ja raha tha ke Armoor road par sadak haadsa ka shikaar hogaya. Mossola it-tila-aat ke mutabiq is haadse main deegar 5? nojawan bhi zakhmi hogaye jinhein Nizamabad District  Headquters Hospital muntaqil kiya gaya hai. Bataya jata hai ke mahlook naujawan janab Ahmeduddin maalik Bharat Cycle Stores Bodhan ka nawasa hota hai. Haadse ki ittila pa kar Rukn e Assembly Bodhan Mr. Mohammed Shakeel Aamir ne Hospital pahonch kar gham zada khandan ko pursa diya aur zakhmion ki ayadat ki.