Slider

Arab duniya pani ke shadeed bohraan ka shikaar

By News Desk Roman Urdu

June 24, 2019

New York: Arab duniya pehlay hi sahraoon aur reghistanoon ki wajah se aabi zakhair se mahroom ilaqa tasawwur ki jati hai lekin ab taaza tareen mutalay ke bad Arab Mumalik mein pani ki qillat ka masla bohraan ki shakal ikhtiyar karne laga hai. Qwama mutahidda ke mutabiq is waqt lag bhag saardey chay crore Arab shehri peenay ke saaf pani se mahroom hain jabkay jumla 22 mein se 17 Arab Mumalik pani ki qillat ki intahi hadd se bhi neechay chalay gay hain.

Aalmi miyaar ke mutabiq fi kis salana chay hazaar qube meter pani darkaar hota hai. Aqwama mutahidda ke takhminay ke mutabiq pani ki qillat ki fi kis salana kam az kam hadd aik hazaar qube meter hai taham arab shehrion ko ausatan fi kis 500 qube meter se bhi kam pani mil raha hai. Doosri janib Arab Mumalik mein khanah jungyon, mousmi tabdeelion aur abadi mein izafah bhi ho raha hai jis se pani ka bohraan mazeed badh raha hai. Aqwame mutahidda ney aabi qillat ke baaray mein aalmi raye aama beedar karne ke liye khusoosi programme shuru kya hai jisay pani baraye paidaar taraqqi ka unwan diya gaya hai. Is 10 sala programme ka aaghaz 2018 mein kiya gaya tha aur yeh 2028 tak jari rahay ga.

Is programme ke tehat duniya bhar ko har saal yeh bataya ja raha hai aur bataya jata rahay ga ke saaf aur mhefoz pani ka husool kitna mushkil hai, qeht saali ka khatrah kis hadd tak badh ho chuka hai aur nikasi aabb ke masail se mutala karte rehna bhi is programme ka hissa hai. Arab Water Council mein gornarz council ke rukan Dr Khalid ney kaha ke Arab League ke matehat Arab Water Council rukan Mumalik mein aabi wasail, un ki qillat aur zeyaa ke hawalay se tahaqeeq ki gayi hai. Un ke mutabiq 22 Arab Mumalik mein teen sala tahaqeeq ke baad pani ke masail par khusoosi report jari ki gayi hai jis mein khabardaar kiya gaya hai ke Arab duniya mein pani ka bohraan sangeen hota ja raha hai.

Dr Khalid ney kaha ke Arab Mumalik mein meethay pani ke salana zakhair 91 arab qube meter hain jabkay un Mumalik ko salana 145 arab qube meter pani zaraat ke liye mil raha hai. Isi terha 74 arab qube meter pani ghair riwayati tareeqon se arab duniya ko haasil ho raha hai. Gharon aur Shehron mein pani ke network se salana 5.8 Arab qube meter pani zaya ho jata hai. Arab Mumalik mein pani ka network farsodah ho chuka hai aur is ke jodon mein toot phoot ki wajah se pani achi khasi miqdaar mein zaya ho jata hai. Arab Mumalik mein pani ki qillat ke baais salana 565 qube meter pani 1 shakhs ke hissay mein araha hai. Un ke mutabiq taqreeban 8 lakh Arab pashindo ko mehfooz nikasi aabb ki sahoolat muyassar nahi hai jabkay abadi zaraat walay ilaqon mein phelti ja rahi hai jis ki wajah se bhi pani ki qillat badh rahi hai. Dr ney  mazeed kaha ke aabi wasail mein kami ke baais Arab Mumalik mein ziraat ka daira bhi mehdood se mehdood tar hota ja raha hai. Is waqt Arab Mumalik taqreeban 70 Arab Dollar maliyat ki zarayi pedawar daraamad kar rahay hain.

Al Azhar University mein maholiyaat aur ziraat ke shobay ke sarbarah aur aabi mtalaat ke maahir Dr Khalid ney kaha ke Arab duniya ko aab paashi ke nizaam ko jadeed khutoot par ustuwar karna ho ga. Pani ke masail par tehqeeq ka silsila baday pemanay par qaim karna ho ga aur sath hi sath Water Treatment Plants ke rivaaj ko bhi farogh dena ho ga. Unhon ney mazeed kaha hai ke aab paashi mein anay wali jadeed tabdeelion se apne kashtakaron ko waaqif karwane ke ilawa inhen naye tor tareeqay apnane ki tarbiyat bhi dainee ho gi. Aisi faslun par tavajju dena ho ga jo shadeed garmi aur khaari zameenon par bhi peda ho sakti hon. Aisi ashya ki ziraat se bachna ho ga jin ki kaasht ke liye ziyada pani chahiye hota hai. Ilawa azeen regeestaan walay Arab Mumalik ko pani ke misali istemaal ke tor tareeqay daryaft karne aur apnane ke liye khusoosi mushtarqa idaray qaim karna hon ge.

Dr ney kaha ke Arab duniya ko pani ke husool ke liye ghair riwayati zaraye ko bhi farogh dena hoga. Misaal ke tor par zair zameen aabi zakhair daryaft karne ke liye remote sense tecnology istemaal karni ho gi. Pani ke zakhair se mutaliq taaza tareen tareen maloomat haasil karne ke liye khalayi tasaveer ka nizaam apnaana ho ga aur zaraat ya gharelo zaroriat mein istemaal honey walay pani ko dobarah istemaal ke qabil bananay ke programme tarteeb dena hon ge.