India

APJ kalam hotay to fakhr karte, ISRO ko bollywood ki mubarakbaad

By News Desk Roman Urdu

September 07, 2019

Mumbai : Indian space research organization ( ISRO ) ka Chandrayaan 2 mission chand par utartay waqt apne aakhri lamhaat mein bhalay hi nakami se dochar hua ho lekin bollywood ney ek aawaz mein science danon ki koshisho ki tareef ki aur unke behtareen kamon ko salam paish Kiya hai.

Bollywood science danon ke sath yakjahti ka izhaar karte hue kaha hai ke unki zakawat wo salahiyat ko poooray mulk ko fakhr hai. film adakar Shah rukh Khan ney tweet Kiya ke kayi martaba hum apni manzil par pohanchna chahtay hain lekin nahi poanch paate hain. sab se zurori baat hai ke hum hadaf ko panay ke liye nikal pade hain aur hamein poori umeed hai aur yaqeen hai ke hum kar saktay hain. hamari mojooda soorat-e-haal kabhi bhi hamari manzil nahi hosakti. manzil hamesha waqt aur yaqeen ke sath millti hai. aap par fakhr hai ISRO.

Amitabh bachchan ney tweet Kiya ke aaj ek naya sooraj nikla hai, chaand ko phir pakdenge. inho ne kaha ke fakhr kabhi shikast ka saamna nahi karta, hamara fakhr, hamari fatah aap par fakhr hai ISRO.

Lata mangeshkar ney kaha hai ke sirf rabta munqita hua hai, azm nahi toota hai. himmat abhi bohat buland hai. mujhe yaqeen hai ke hamein kamyabi zaroor mileygi. adakar Akshay kumar ney ISRO ki koshisho ki tareef karte hue tweet Kiya ke tajurbah ke baghair koi science ka ilm haasil nahi karsaktha. kayi martaba hum kamyaab hotay hain aur kayi martaba hum seekhtay hain. ISRO ke un tajurbah car science danon ko salam aur hamein umeed hai ke Chandrayaan 2 jald hi Chandrayaan 3 ke liye rasta hamwar karega. hum jald wapsi karenge.

Ajay devgan ney kaha hai ke mulk muttahid hai aur fakhr aur umeed hai, Chandrayaan 2 ke liye ISRO ka shukriya. bollywood ke senior adakar Anupam kher ney ISRO ki koshisho ki tareef karte hue likha ke Well done ISRO.. hamein aap par fakhr hai. Imran hashmi ney kaha ke aisay waqt mein jab social media sirf taaqat ke baray mein dang maarta hai, aisay mein kamzoriyon aur nakamyabyon ke baray mein agli nasal ko sikhane ka ahem zareya hai. agar aap apni shikast se seekhnay hain to aap kuch nahi khote hain. ISRO par fakhr hai.

Armaan malik ney kaha hai ke agar APJ kalaam sir aaj yahan hotay, woh ISRO ke is mission par haqeeqat mein fakhr karte, isse koi farq nahi padta, hum girtay hain, hum uthte hain aur hum phir se koshish karte hain aur ziyada ilm ke sath jo ghalti hui un ghaltion ka tadaruk karte hain, agli martaba hum dobarah koshish karenge.

Wazeh rahay ke ISRO ka Chandrayaan 2 mission ka Lander Vikram chand par utrney ka amal jo pehlay se mansoobah band tareeqay se chal raha tha aur chaand ki satah se woh 2.1 kilometer ki doori tak theek thaak kaam kar raha tha lekin is ke baad zameen par waqay markaz se lander ka rabta munqita hogaya. –YTN STAFF