India

AP mein corona se mazeed 44 amwaat

By News Desk Roman Urdu

July 15, 2020

Amravati: Andhra Pradesh mein coronavirus ke mamlaat mein taizi se izafah hotajarha hai. Guzashta 24 ghantoun ke douran 2432 afraad is waba se mutasir paye gaye aur 44 afraad ki mout huvi. Mehakma sahet o taba-aat ki janib se jari kardah Bulletin mein ye baat batayi gayi. Un naye mamlaat mein deegar reyastoun ke 20 afraad shaamil hain. Naye mamlaat ki tadaad ke lehaaz se sab se sare fehrist zila Guntur hai jahan 468 naye mamlaat guzashta 24 ghantoun ke douran darj kiye gaye. Dosray number par 403 mamlaat ke sath zila Karnool hai.

Sab se kam 49 mamlaat guzashta 24 ghantoun ke douran zila Vizianagaram mein darj kiye gaye hain. Ab tak bah hesiyat majmoi sab se ziyada mamlaat ke lehaaz se zila Karnool raha hai jahan ab tak 4226 mamlaat darj kiye gaye jabkay sab se kam mamlaat 881 Vizianagaram zila mein bah hesiyat majmoi darj kiye gaye. Riyasat bhar mein 16032 afraad robah sahet hue hain jin ko ghar janay ki ijazat di gayi hai. Un mein sab se ziyada robah sahet honay walay afraad zila Annantapur ki hai jahan 2205 afraad robah sahet hue. Sab se kam 248 afraad Vizianagaram zila mein robah sahet hue hain. Guzashta 24 ghantoun ke doraan riyasat main corona se 44 amvaat huve hai.