India

AP ke mazeed 6 azla ke liye Arogyasree khidmaat ki towsee ka aaghaz

By News Desk Roman Urdu

July 16, 2020

Amravati: Andhra Pradesh ke wazeer e aala YS Jagan Mohan Reddy ne Arogyasree ke ek naye daur ka aaghaz kiya hai jinhoun ne riyasat ke mazeed 6 azla ke liye Arogyasree khidmaat ki towsee ka aaghaz kiya. Wazeer e aala ne intikhabaat ke douran ye wada kiya tha ke 1hazaar rupay se zayed ke tibbi akhrajaat ko Arogyasree ke tehat layajaye ga. Is wada ke mutabiq Arogyasree mein kayi tabdeelian ki gayi aur jareya saal 3 January se maghribi Godavari zila mein is par tajarbaat tour par amal ka aaghaz kiya gaya tha taham aaj se Vijayanagaram, Vishakhapatnam, Guntur aur Prakasam azlaa mein bhi is par amal ka aghaz kar deya gaya hai.

Is mauqa par khitaab karte hue Jagan Mohan Reddy ne kaha ”Ham Arogyasree ke imkanaat mein towsee kar rahay hain. Aisay afraad jin ki salana aamdani 5 lakh se kam hai un ka itlaq Arogyasree par hoga. AP mulk ki wahid riyasat hai jis ne corona ko Arogyasree ke tehat laya hai. Unhoun ne kaha kay ilaaj ke liye kisi ko bhi maqrooz nahi hona chahiye. Aaj se Hospitals ke le OTs mein tabdeeli ki gayi hai aur 1 hazaar rupiye se zayed ka ilaaj karwana par is ko Arogyasree ke tehat laya gaya hai. Unhoun ne kaha kay barsar eqtedar anay se pehlay 1059 amraaz ka ilaaj Arogyasree ke tehat kya jata tha taham ab is mein izafah karte hue 2200 amraaz ko shaamil kiya gaya hai.

Jald hi tamam azlaa mein izafi khidmaat faraham ki jayen gi. Unhoun ne kaha kay riyasat mein 27 Teaching Hospital qaim kiye jarahay hain. Sarkari Hospitals mein mayaari duwaein jin ki tajweez aalmi tanzeem sahet ne di hai ki farahmi ko yaqinee banaya jaraha hai. Jagan ne Collectors ko mashwara diya ke wo COVID ki rokk thaam ke iqdamaat par tavajja markooz karen. Unhoun ne kaha kay hamein teeka nikalny tak COVID ke sath jeena hai. Wazeer e aala ne sabun se haath dhoney aur samaji faasla banaye rakhnay jaisay umoor par awam mein baydaari paida karnay ki tajweez pesh ki.