Slider

Andhra, Telangana Ke Wazraye-e-Aala Nay Bain Reyasti Umoor Par Tabadlah Khayaal Kiya

By News Desk Roman Urdu

August 01, 2019

Hyderabad : Andhra pradesh ke wazeer-e-aala YS Jagan mohan Reddy nay jumaraat ke roz, Telangana ke apne hum mansab K Chandra shekahr Rao se mulaqaat ki. dono qaideen ke mabain mukhtalif umoor par tabadlah khayaal hua.

Ahem muddoun ko hal karne ke liye markazi wizarat-e-dakhla ki janib se 8 august ko donoun reyaston ke honay walay ijlaas ke paish-e-nazar is ijlaas ko ahmiyat ka haamil samjha jaraha hai.

Samjha jata hai ke dono wazraye-e-aala nay 28 June ko apni pehli meeting ke douran kiye gay faislon par peishraft par tabadlah khayaal kiya. 28 June ko honay wali meeting mein, Jagan mohan reddy ke wazeer-e-aala ki zimma daari sambhalne ke baad dono reyaston ke mabain pehli baat cheet mein pani ke ishtiraaq se mutaliq apne tamam tanazuath ko par aman tareeqa se hal karne ka faisla kiya gaya tha.

Dono reyaston mein pani ki qillat ko door karne ke liye daryaye Godavari se krishna nadi ki taraf pani ko modnay ka bhi faisla kiya gaya.

KCR se mulaqaat se qabal Jagan nay Telangana ke governor ESL Narsimhan se bhi mulaqaat ki. dono reyaston ke governor ki hesiyat se Narsimhan nay guzashta paanch saloon ke douran baat cheet mein ahem tameeri kirdaar ada kiya tha. –YTN STAFF