India

Andhra pradesh high court ney Chandra Babu Naidu ki seucrity bahaal kardi

By News Desk Roman Urdu

August 15, 2019

Hyderabad : Andhra pradesh high court ney reyasti hukoomat ko 97 police ehalkaron ke sath sabiq wazeer-e-aala N Chandra Babu Naidu ki seucrity bahaal karne ki Hidayat ki hai. justice Durga prasad ki sarbarahi mein high court ke bench ney haal hi mein munaqqid hue intikhabaat mein iqtedar se mehroom hone ke baad Naidu ki janib se seucrity ko challenge karte hue dair ki gayi ek darkhwast par High court ney yeh ehkamaat diye.

Adalat ney 2 August ko apne ehkamaat mehfooz rakhay the, ney hukoomat se opposition leader ke qaafley mein jammer  gaadi shaamil karne ko kaha hai. aur yeh bhi Hidayat ki gayi hai ke qaumi salamti guards ( NSG ) aur police ke mabain ikhtilafat ke badey mein teen mah mein faisla liya jaye, jo dakhli salamti ka khayaal kon rakhna chahiye.

taham adalat nay cheif seucrity officer ( CSO ) ka intikhab hukoomat par chodh diya hai. Naidu chahtay the ke hukoomat apni pasand ke police Officera ko CSO ke tor par muqarrar kare. YSR congress party ki nai hukoomat nay July mein Naidu ki seucrity ko kam kar diya tha. ( TDP ) ke sarbarah nay is iqdaam ko is bunyaad par challenge kiya tha ke inhen mau nawazon ke zareya ab bhi apni jaan ko khatrah hai.

Chandra Babu Naidu 2003 mein Tirupati mein mau nawazon ke zareya qatilana hamlay mein is waqt bach gaye they, jab woh ghair munqasim Andhra Pradesh ke wazeer-e-aala the. Naidu nay adalat mein arz kiya ke hukoomat nay seucrity ehalkaron ki tadaad kam kar ke 74 kardi hai.

Taham advocate general Sriram nay adalat ko bataya tha ke hukoomat nay Naidu ki ”Z+“seucrity kam nahi ki, aur is se mutaliq tafseelaat paish kee. adalat ko bataya gaya ke Naidu ko 74 ehalkaron ke sath seucrity faraham ki ja rahi hai, halaanke woh qaied hizab-e-ikhtilaaf ki hesiyat se sirf 58 afraad ke haqdaar hain. April mein honay walay intikhabaat mein TDP nay YSRCP se Iqtidaar kho diya tha. –YTN STAFF