Aligarh: Aligarh Muslim University ( AMU ) ke Vice-chancellor Tarik Mansoor ne Chemistry P.hd ke taalib ilm Mohammad Tarik ko Assistant Professor muqarrar kiya hai. Mohammad Tarik un tabla mein se ek tha, Jo 15 decemeber ko campus mein insidaad shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke liye ehtijaj ke douran police ke sath hue jhadap mein shadeed zakhmi huva tha. Aur is ke dayen haath ki unglio ko shadeed nuqsaan pouncha tha.
JRF aur Net, Qualify P.hd Scholar Tarik ko infection phelnay se bachanay ke liye apni hatheli katna pada. AMU ke sarkari tarjuman ke mutabiq, ye taqarruri peer ke roz fori tor par Dean, Science Faculty aur chairman, Shoba chemistry ke mashwaray se ki gayi.
Is se qabal shaam ko, Talba, Aasatezah aur ghair Tadrisi amlay ki ek badi tadaad ne campus mein shama juloos nikala, Jis mein campus mein police ko talabb karne par Vice chancellor ke khilaaf naaray baazi ki gayi.
Itwaar ke roz, AMU ke Vice chancellor Tarik Mansoor ne justice ( Retired ) VK Gupta ke zareya bhi dakhli haqayiq se mutaliq tehqiqaat ka aaghaz kiya. wo 15 decemeber se AMU mein runuma honay walay tamam waqeat ki tehqiqaat karenge aur 3 mah ki muddat mein apni report pesh karen ge. Justice Gupta, Himachal Pradesh aur Uttarakhand high court ke sabiq justice hain. -YTN STAFF