Ajaayeb wo Garaayeb

Amrici shehri ko saanp ke katay hue sar neh duss liya

By Abdul Aziz

June 08, 2018

Mutasarah shakhs ko fouri taur par hospital muntaqil karna pada jahan aik haftay baad is ki haalat behtar hui, 26 antivenom dose dainay pade

Huston: Amrici riyasat Texas mein 1 shakhs ko saanp ke katay hue sar neh duss liya jis ke baais woh marnay ke qareeb poanch gaya aur usay bachanay ke liye anti snake dawa ke 26 dose diye gaye jabkay umomi taur par saanp dsne par do taa chaar dose hi dyie jatay hain. mutasarah shakhs ki biwi Jennifer Sutcliffe neh american TV ko bataya ke is ke shohar baagh mein kaam kar rahay they ke achanak unhon neh taqreeban chaar foot taweel aik saanp dekha jisay unhon neh bailcha se kuchal kar khatam kardiya. khatoon neh bataya ke lekin jab un ke shohar neh saanp ki baqyat ko utha kar inhen phenkna chahta to saanp ke katay hue sar neh bhi inhen duss liya aur is neh apna sara zeher jism mein chore diya jis ke baad inhen fori taur par qareebi hospital muntaqil kya gaya jahan inhen anti snake dawa di gayi, taqreeban aik haftay baad hi un ki haalat kisi qabil hosaki is douran inhen bachanay ke liye dawa ke 26 dose diye gaye. university of ayrizona viper insti tute ki Dr. Lisle neh saanp ko maartay waqt ya usay kaatnay se mutaliq awam ko khabardaar karte hue kaha hai ke yeh janwaron ke sath aik sifakana amal hai ke usay kaat diya jaye. khayaal rahay ke aik saanp marnay ke kayi ghanton baad taq bhi dsne ki salahiyat rakhta hai.