Mumbai : Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ne itwaar ke roz Jammu wo Kashmir ke muamlay par congress aur is ke sabiq sadar Rahul Gandhi par tanqeedi hamla karte hue un par ”qoumi salamati“ se mutaliq ek sawal par siyasat karne ka ilzaam lagaya.
Jammu wo Kashmir ke aeen ke Article 370 ko ”Tareekhi faisle ke tor par mansookh karne ke iqdam par Shah ne kaha ke BJP ne ”ek qoum, ek wazeer-e-aazam aur ek aaen ke liye jaddo jehed ki, lekin congress ne is maamla par siyasat karne mein mulawis hai. unhon ne kaha ke congress usay ek siyasi masla manti hai lekin hum usay qoum parast mante hain.
Shah ne sabiq wazeer-e-aazam Jawaharlal Nehru par 1947 mein ”jang bandi ki jadd-o-jehad“ par raazi honay ka ilzaam lagaya, jisne Pakistan maqboza Kashmir ( PoK) ki tashkeel ki raah hamwar ki thi.
Amit Shah ne kaha ke mai Rahul gandhi ko aagah karna chahta hon ke hamari teen nasloun ne Article 370 ko khatam karne ki jad-o-jehad ki hai, yeh koyi siyasi masla nahi hai. congress ke liye usay zindah rakhna ek siyasi masla tha, lekin BJP ke liye yeh mulk ke ittehaad aur salamti ka maamla tha, wazeer-e-aazam Modi ne ek khawab ko sach kiya.
Shah ne Maharashtra ke party kaarkunon ko hidaayat di ke woh Article 370 ko mansookh karne se mutaliq awam ko waaqif karwaye. Dar-asal Jammu wo Kashmir se article 370 ko mansookh karne ka maamla Maharashtra assembly intikhabaat ke liye BJP ka ek bada intikhabi mansoobah hoga.
Wazeh hoke Jammu wo Kashmir se article 370 ki mansookhi ke baad Maharashtra aur Haryana mein intikhabaat munaqqid hone jarahay hain, aur BJP ko umeed hai ke woh is muhim ke douran awaami jazbaat ki jaanch karegi.
Amit Shah ne Rahul gandhi par tanz karte hue kaha ke qaumi mafaad ke sangeen mamlaat par siyasat nahi ki jati. unhon ne Rahul gandhi ko mashwara diya ke woh hindustani tareekh ka mutalea karen, taakay yeh samajh saken ke is tarha ke sangeen masail par kis tarhan sahih faislay kiye jatay hain. BJP ke intikhabi muhim ka aaghaz Shah ne is umeed ka izhaar kiya ke BJP ki zair-e-qayadat ittehaad dobarah wazeer-e-aala Devendra Fadnavis ke sath Iqtidaar mein wapas aayega. –YTN STAFF