Latest News

Americi Sadar Trump Ki Aalam-E-Islam Ko Ramadan Ki Mubarakbad

By News Desk Roman Urdu

May 07, 2019

Washington: Sadar America Donald J Trump nay Ramadan ke muqaddas mahinay mein mazhabi fareeza anjaam dainay walay America aur duniya bhar ke tamam musalmanoon ko dil ki gehraiyoun se mubarakbad arsaal karte hue umeed zahir ki hai ke Ramadan ke jazbay mein hum sab mil kar ek mazeed hum aahang aur ba akhlaaq muashra takhleeq karne ka maqsad pa sakte hain. is tamheed ke sath ke mere sath Melania  bhi rehmatoun bharay is mahinay ki aamad par musalmanoun ke liye nek khwahisaat paish karti hain, –apne pegham mein sadar Trump nay kaha hai ke yeh mubarak maheena ataa kardah rehmaton par ghor-o-fikar aur ek dosray ke sath hamdardi ka jazba peda karne ke liye kaam ka mauqa faraham karta hai .

Paighambar islam Hazrat Mohammad ﷺ par quran muqaddas ke nuzool ki yaad dilaata hai aur muslmanan is mah-e-muqaddas ka chand nazar anay per batini fikar, Rohani tajdeed aur ibadat ke mahinay ka aaghaz kar ke is nuzool ki tazeem karte hain. unhon nay kaha ke is mah ke douran musalman tulu sehar se ghuroob aftaab tak roza rakhtay hain, Quran-e-hakeem ki tilawat karte hain aur dosroun ke sath sakhavat aur khair khwahi par mabni naik afaal anjaam dete hain. aisa karte hue woh apni Rohani zindagi mein maqsad se mutaliq tajdeedi ehsas peda karte hain aur kkhuda ke karam wo rehmat ke liye bharpoor shukar guzari karte hain. Amrici wazeer kharja Pompeo nay bhi androon wo beron mulk musalmanoun ke liye Ramadan muqaddas ki aamad par nek khwahisaat ka izhaar kiya aur guzishta mah teen ibadat gaahon par hamlay ke paish e nazar umeed zahir ki ke duniya bhar mein fard ke apne aqeday par azadana amal ki ahliat ko darpaish sangeen masail hal kiye ja satke hain agar hukoomaten aur awam mil kar sabhi ke liye mazhabi azaadi ke farogh ki khatir ikathay kaam karen. is tarha uss nafrat par qaboo paya ja sakta hai jo aisay hamla awaron ko tehreek deti hai. Pompeo nay kaha ke Ramadan bohat se musalmanoun ke liye Rohani tajdeed, meharbani, ghareebon ke liye dardmandi aur mutnoa maashron mein hum ahangi par tavajja markuz karne ka mauqa faraham karta hai. is mauqa par America mein bohat si masajid aur gharo mein mukhtalif aqaed se talluq rakhnay walay doston aur humsaayon ka masawaat, reham dili aur Fayazi ki mushtarqa Amrici eqdaar ke tehat khair-maqdam kiya jata hai .

Ramadan tamam aqaed aur pas manzar se taluq rakhnay walay logon ko mushtarqa dardmandi, ehtram aur aik dosray ki madad ki ahmiyat yaad dilaata hai. rozana roza kholnay aur dosaron ko khanay mein shareek karne ki badolat Ramadan hamaray masharti taluqaat mein mazbooti lata aur samaji khidmat par zor deta hai. isi jazbay ke tehat hum aqeday se qata nazar ek dosray ke liye apni bahami zimma darion par ghor-o-fikar aur behtareen fard ban’nay ki sae karte hain. Amrici wazeer kharja nay kaha ke duniya bhar mein bohat se Amrici sifarat khanaay aur consul khanaay Iftaar ke sath istaqbalia taqrebaat ka ehtimaam karte hain jis se Amrici sifarat kaari ki bunyadi taaqat ka izhaar hota hai aur mazhabi azaadi, mazhabi aqliati baradrion ko apne sath shaamil karne aur unke ehteram aur aman ke liye shirakton baare hamara azm mazeed taqwiyat paata hai. –YTN STAFF