Slider

American fouji ki moujoodgi se kasheedgi door nahin hogi : Russia

By News Desk Roman Urdu

September 25, 2019

Aqwam-e-mutahidda : Russia ney kaha hai ke maghribi asia mein American fouji ki mojoodgi se khaleej faris mein jari kasheedgi dornhin hogi. Russia ke naib wazeer-e-kharja Sergey Lavrov ney media ko bataya ke Saudi arab ki tel tansibat par hue hamlay ke baad maghribi asia mein American fouji ki mojoodgi se khaleej faris mein kasheedgi door nahi hogi.

unhon ney kaha hum yeh nahi samajte ke is tarhan ke masail fojion ki tadaad badhakar hal kiye jasaktay hain. hamein lagta hai ke sabhi tafseelaat ki tasdeeq ki jani chahiye. is maamla ki jaanch ki jani chahiye. kisi bhi masla ka fouji hal nahi talaash kiya jana chahiye.

Wazeh rahay ke Saudi arab ke Baqeeq aur kharees mein tel ki tansibat par is mah ke awail mein drone se hamlay kiye gaye they, jiski wajah se company ki 5.7 million barrel khaam tel ki paedawar mutasir hui thi. yeh Saudi arab ki majmoi youmiya paedawar ka nisf hissa hai.

Yemen ke Housi baghion ney Saudi arab ki Aramco tel company par drone hamlay ki zimmedaari qubool ki hai. America aur kayi European mulkon ney hamlon ke liye Iran ko qasoorwar tehraya hae. Iran ney un hamlon mein khud ke mulawis honay se inkar kiya hai. –YTN STAFF