Slider

America ne Coronavirus ki dawa tayyar karli

By News Desk Roman Urdu

April 04, 2020

Chohoun par azmaish kamyaab, Nai Vaccine ka naam  PittCoVacc rakha gayaNew York: Coronavirus ki wajah se is waqt duniya bhar ke awam pareshan hai aur is Virus ki wajah se lakhoun loog mutasir aur hazaroun ki tadaad mein mareez dam toad rahay hain aur har koi un mumalik ki taraf umeed ki nazroun se dekh raha hai ke kab kon is baat ka elaan karjaye ke is ne is wabai aur mohlik marz ki dawa tayyar karli hai.

Coronavirus ke Infection se ladne ke liye dawa aur Vaccine tayyar karne ke liye kayi mumalik ke Scientist aur Doctors lagataar koshishen kar rahay hain. Is darmain Americi Science danoun ne daawa kiya hai ke unhoun ne ek aisa Vaccine tayyar kar liya hai jis se Coronavirus ke Infection ko mazbooti ke sath roka ja sakay. University Of Pittsburgh school of Medicine ke Science danoun ne kaha hai ke baqi mumalik ke muqablay mein unhoun ne bohat jald COVID-19 yani Coronavirus ki Vaccine tayyar karli hai.

Media zaraye se masool ho rahi khabroun ke mutabiq is University ke Science danoun ney jo Vaccine tayyar ki hai is ke liye unhoun ney Saras ( SARS) aur MERS ( MERS ) ke Coronavirus ko bunyaad baneya tha. Pittsburgh School Of Medicine ke Associate Professor  Andrea Gambotto ney is silsilay mein kaha ke ye dono SARS aur MERS ke Virus ne walay Coronavirus yani COVID-19 se bohat hadd tak yaksaniyat rakhtay hain. Is se hamein ye sabaq haasil huva ke un tenu ke spike protein ( Virus ki baahiri satah ) ko todna be hadd zurori hai taakay insanoun ko is Virus se azaadi mil sakay.

Professor Andrea Gambotto ne kaha hai ke hum ne ye pata kar liya hai ke Virus ko kis terhan maarna hai, Usay kis terhan shikast dena hai. Hum ney apni Vaccine ko choohay par aazma kar bhi dekh liya hai aur is ke nataij intahi khush angaiz saabit huve. Andrea ne mazeed kaha hai ke tayyar kardah Vaccine ka naam hum ne  PittCoVacc rakha hai. Is Vaccine ke assar ki wajah se choohay ke jism mein aisay Anti Bodies peda ho gaye jo Coronavirus ko rokne mein kargar hain. Andria ney mazeed kaha hai ke COVID-19 ko rokne ke liye jitne Anti Bodies ki zaroorat jism mein chahiye, Itni  PittCoVacc Vaccine poori kar raha hai. Hum bohat jald is ka tajurbah insanoun par shuru karen ge. –YTN STAFF