Slider

America mein mass shooting ke badhtay waqiyat , Trump mafadaat ke takrao se pareshan

By News Desk Roman Urdu

September 04, 2019

Washington : America ke sadar Donald Trump ne is azm ka izhaar kiya hai ke woh congress ke sath milkar America se mass shooting ( awaami maqamat par goliyan chalana ) ke waqiyat  ka khatma karenge. sadar Trump ne un khayalat ka izhaar Amrici riyasat Texas mein hue haliya hamlay ke waqeye ke baad kiya hai. Trump ne kaha hai ke awam ke tahaffuz ko yakheeni bananay ke liye tamam ahem iqdamaat karne ki zaroorat hai lekin sath hi is baat ka bhi khayaal rakhna hoga ke aisay iqdamaat kiye jayen jo asleha rakhnay waloun ke aaeni huqooq ka tahaffuz bhi kar saken.

Sadar Trump Washington mein federal emergency managment agency ke daftar mein samandari toofan doorian ke baare mein tafseelaat se waaqif ho rahay they, is mauqa par unhoun ne baarey paemanay par honay walay hamloun ki rok thaam ke liye congress ke sath mil kar kaam karne par razamandi zahir ki. Trump ne kaha hai ke hum pur-tashadud jaraim mein wazeh had tak kami lana chahtay hain. khabar unke mutabiq baaz halqay sadar Trump ki asleha ki rok thaam ki koshisho par shukook ka izhaar karte rahay hain. sadar Trump Florida mein school par hue hamlay ke baad asleha rakhnay walon ke liye qawaneen sakht karne ka ehad lekar samnay aaye they lekin baad azan woh national rifle association ke dabao ke baad apne iraadon se peechay hatt gaye.

Sadar Trump chahtay they ke asleha rakhnay waloun ke pas manzar ki chaan bain ki jaye aur is baat ko yakheeni banaya jaye ke asleha kisi ghalat shakhs ke hathoun mein to nahi hai lekin is association ke dabao  ke baais woh aisa nahi kar sakay. National rifle association ne Donald Trump ko sadar ban’nay ke liye bharpor himayat faraham ki thi. America mein haliya chand mah mein hue hamlon ke baad bhi sadar Trump ne asleha khareedney waloun ka pass manzar ki jaanch padhtal karne par baat karne se guraiz kiya aur un hamloun ko dimaghi sahet ke maslay se jodney aur dimaghi masail ko ujagar karne ki koshish ki.

Sadar Trump ne kaha ke agar aap haliya waqiyat  ko dekhen aur 5-6 saal pehlay ke waqiyat  ka jaiza len to yeh wazeh hota hai ke aap chahay jitna marzi pass manzar jaanch len aisay waqiyat  ko nahi roka jasakta. yeh ek badi museebat hai, yeh dimaghi aarzah aur ek bada masla hai. sadar Trump yeh bhi keh chuke hain ke awam ka tahaffuz hamari sab se awaleen tarjeeh hai. hum apni doosri tarmeem ki hifazat bhi karna chahtey hain woh bhi bohat zurori hai. sadar Trump asleha ke qawaneen mein is tarmeem ki taraf ishara kar rahay they jiske tehat aam fard ko asleha rakhnay ka haq haasil hai.

Trump ne media numaindoun se guftugu karte hue kaha hai ke woh dono siyasi jamaatoun ke qanoon sazoun se baat kar rahay hain. intezamia bohat si mukhtalif cheezon ki taraf dekh rahi hai aur umeed hai ke aglay haftay congress ke ijlaas mein wapas anay tak ek package tayyar hojayega. –YTN STAFF