Latest News

America mein Immigration hukkaam ne 250 Hindustani talba ko giraftar kar liya

By News Desk Roman Urdu

November 28, 2019

New York: Media Reports ke mutabiq, Americi Immigration hakkaam ne sting operation mein taqreeban 250 talba ko girfatar kiya hai, Jinhoun ne sting operation mein jaali University qaim ki thi. Detroit free press ne charshumbe ku bataya ke ohdedaroun ne haal hi mein kaha hai ke haliya mahino mein taqreeban 90 talba ko girfatar kiya gaya tha, Is ke ilawa 161 deegar afrad ko bhi giraftar kiya gaya tha. Inhen March mein Farmington University ke naam se ek jaali idaray mein dakhla lainay waloun par karwai karne ke baad giraftar kiya gaya tha.

Is idaray ki ibtida, Home land Security Department ( DHS ) ke immigration and customs inforcement( ICE ) section ne ke thi, Jis ne talba ko jhutay tor par campus mein daakhil karaya tha aur talba ko operation mein giraftar kia tha.

Farmington  University mein koi haqeeqi Faculty ya sahoolat nahi theen aur wahan dakhila hasil karne ke baad, Talba apne amli tarbiati Programme ka istemaal karkay kahin aur kaam karne ke qabil ho gaye they. Americi Telugu Association ne is waqt ittila di thi ke January ke shuru mein taqriabn 100 talba ko giraftar kiya gaya tha.

Is mein mazeed kaha gaya hai ke 600 tabla ku warrant jari kiye gaye hain. Isi douran DHS ne un 8 afraad ke khilaaf Detroit ki ek wifaqi adalat mein ilzamaat dair kar diye, Jo mobayyana tor par is ghotala mein dakhla dilanay waloun ki hesiyat se khidmaat injaam diya tha.

Adalati dastawizaat mein, DHS ne aitraaf kiya ke is ne Farmington University ko Michigan Hills mein amlay ki hesiyat se qaim kiya hai, Khufia agento ke sath ghair mulki talba ko nishana bananay ke liye jo munasib ijazat ke baghair America mein muqeem they.

Prosecutors ne is ko  “pay-to-stay” “ghutala qarar diya, Kyunkay talba ne kisi jaali university se dastawizaat lainay ke liye bharti karne waloun ko adaigi ki taakay wo classes mein shirkat ke baghair talba ke vision par bar qarar rahen. Farmington , Doosri jaali university thi, jo talba visa ghotaloun ke khilaaf sting operation ke liye ICE ne tashkeel di thi.

is se qabal 2013 mein, ICE ne  Northern New Jersey university ka qiyam amal mein laya tha aur 2016 mein 21 afraad ko girfatar kiya tha aur university se munsalik Hindustan aur China ke 1,076 tabla ko mansookh kar diya tha.

Free press ne bataya ke, 8 bharti karanay walay afraad ko adalat mein jurm tasleem karne ke baad Farmington university case mein saza sunai gayi thi aur un mein se 7 ko 1 saal se leker 2 saal tak ki saza sunai gayi hai. Aur 1 shakhs ko January mein saza sunai gayi hai.

Adalti dastawizaat se inkishaaf huwa hai ke talba ki bharti ke liye New York City mein shaamil home Land Secuirty Investegation agentoun ke sath meeting mein bharti kannadgan ko 5000 Dollar se 20,000 Dollars tak ki adaigi ki gayi thi. – YTN STAFF