Hyderabad

Ameerpet ta Hitec city Metro rail ka kal aaghaz

By News Desk Roman Urdu

March 19, 2019

Hyderabad: Ameerpet ta Hitec city metro rail ka Hyderabdi awam ko jo intzaar tha ab woh kal ( 20 March 2019 ) khatam honay wala hai kyunkay kal governor ESL Narsimhan mazkoorah rastay par jhandi dikha kar metro rail khidmaat ka aaghaz karenge.

Ameerpet ta Hitec city ka yeh faasla 10 kilometer taweel hai is rastay par Ameerpet Bashamul deegar railway stations ki tadaad 10 hogayi. Ameerpet ta Hitec city rastay par metro rail ki khidmaat ke aaghaz ke baad Hitec city, Madhupur, Gachibowli aur Jubilee hills ki IT , ITS  aur deegar dafatir ke mulazmeen ke liye raahat haasil hogi kal governor ki janib se iftitah honay ke baad isi din shaam 4 bajey se is rastay par metro rail khidmaat ka aaghaz bhi kardiya jaye ga .

Ameerpet ta Hitec city 10 kilometer ke faaslay par 9 stations moujood hain aur yeh Troninagar,Madhapur, Yousufguda, Jubilee hills road number 5, jubilee hills checkpost, Padma godi , Durgancheru, Hitec city qabile zikar hain. darin Isna Troni nagar , Madhapur  station ko khawateen aur bachon ki sahuliyaat ke liye taraqqi diya gayi hai kyunkay is station par khawateen ke liye gharelo zaroriat ki cheeze faraham karne ke liye 2 acre araazi par womens center station banaya gaya hai taakay inhen shopping ki tamam sahuliyaat faraham ki jayen aur sath hi bachon ki zaroriat ki cheeze bhi is station par muhayya kar di jayen gi .

Ameerpet ta Hitec city mein rail station ki awam ko is liye bhi zaroorat thi aur intzaar kya ja raha tha kyunkay panjaguta Jubilee hills aur Hitec city jaaney walon ke liye trafic ka bohat bada masla hai aur umeed ki ja rahi thi ke is railway khidmaat ke zariye is maslay ka hal hojaye ga. kal shaam 4 baje jo awam ke liye yahan metro rail ka aaghaz hoga to un stationon par rail har 9 taa 12 minute ke waqfa se dastyab rahen gi halaan ke shehar ke dosray stationon par har 6 minute mein aik rail dastyab hoti hai lekin Ameerpet aur Hitec city ke is rastay par ibtida mein ek ek train ke darmian waqfa 9 taa 12 minute ke darmian hoga .

Hukumat ne wazeh kar diya hai ke ibtidayi marhalay mein to rail ki khidmaat kisi qader ziyada waqfay se hogi lekin anay walay dinon mein ek rail ke baad doosri rail ki dasteyabi ke liye waqt ko kam se kam kar diya jaye ga kyunkay is rastay par railen twin single line nizaam ke tehat chalaye jayen gi. yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke kal Ameerpet ta Hitec city ke rastay par Metro rail to chalaye jaye gi lekin ibtidayi marhalay mein jubilee hills check post Padma godi aur madhapur ke liye stations dastiyab nahi honge kyunkay chand dinoun ke baad un stations ko awaami khidmaat ke liye khol diya jaye ga. is rastay par rail khidmaat ke aaghaz se Nagole taa Hitec city ka faasla 27 kilometer aasani se tey kya jasakay ga jabkay miapur LB nagar ka rasta 29 kilo meters ka hoga jis ke liye ameerpet metro station par rail tabdeel karni hogi .

 

 

 

Y THIS NEWS