Lucknow. Ganga Jamna ke sangam par abad Uttar Pradesh ke tareekhi shahar Allahabad ko ab ”Prayagraj ” ke naam se jana jaye ga. Mangal ko UP cabinet ke ijlaas mein Allahabad ka naam badal kar ”Prayagraj” karne ki manzoori daydi gayi. Taweel arsa se muqami Hindu rehnumaon aur sadhwhoon ka mutalba tha ke Allahabad ka naam tabdeel kiya jaye. Qabl azeen wazeer e aala Yogi Adityanath neh kaha tha ke mazhabi aur awaami rehnumao neh shehar ka naam tabdeel karkay Prayagraj karne ki tajweez paish ki thi. Wazeer e Aala ne Allahabad ka naam Prayagraj karne ki himayat karte huwe wazeh kiya ke jahan 2 daryaon ka sangam hota hai usay Prayag kaha jata hai. Aisay aalam mein Allahabad ka naam Prayagraj karna munasib hoga. Mangal ko UP cabinet ke ijlaas mein paish ki janiwali dastaweez par Chief Minister Yogi Adityanath ne mohar tasdeeq sibt kar di. Unhon ne wazeh kiya ke ab aayindah Kumbh Mela se qabl hi is shahar ka naam Prayagraj kardiya jaye ga. Iss ki ittela Uttar Pradesh hukoomat ke wazeer Siddhanath ne di.