India

All India Muslim Personal Law Board ne Ayodhya Case ke faisla ka ehteram karne ki awam se ki appeal

By News Desk Roman Urdu

October 31, 2019

Lucknow : All India muslim personal law board ( AIMPLB ) ne awam se appeal ki hai ke Babri masjid ram janam bhomi araazi tanaza case mein supreme court ki janib se jo bhi faisla diya jata hai usay par sukoon tor par qubool karen.

Wazeh ho ke supreme court ke chief justice ranjan gogoi 17 November ko retire ho rahay hain, aur un ke retire honay se qabal supreme court is case ka faislah sunayegi.

All India muslim personal law board ( AIMPLB) ke membar moulana Khalid rasheed firangi ne kaha hai ke sab ko supreme court ke faisle ka ehteram karna chahiye aur is faisla ko qabool karna chahiye. unhon ne musalmanoun se kaha hai ke agar faisla unki tawaquaat par poora nahi utartaa hai to, woh kisi ehtijaj ya naaray baazi mein mulawis nah hon.

Unhon ne kaha ke mulk mein mahol ko kharab karne ki koshish nahi honi chahiye aur social media par bhi ahteyat baratni chahiye. kisi bhi musalman ko nataij se khaufzadah honay ki zaroorat nahi hai. wahein Shiah aalim-e-deen Molana Jawad ne bhi kaha ke adalti faisla sab ke liye qabil-e-qubool hoga aur kisi bhi fareeq ki taraf se mulk mein aman ko kharab karne ki koyi koshish nahi honi chahiye.

Unhon ne kaha ke ”ham aeen aur qanoon ka ehteram karte hain aur adalti faislay ki paasdari karenge. jo log aman ko kharab karne ki koshish karte hain, inhen islam ke haqeeqi pairo-car nahi kaha jaskta“. Supreme court ke faisley ki tareekh qareeb anay ke sath hi mutadid muslim ulama aman aur zabt ke liye appeal kar rahay hain. –YTN STAFF