Aligarh: Delhi mein Jamia Millia ke baad Aligarh Muslim University ( AMU ) mein itwaar ki raat der gaye, Mutanazia shehriat tarmeemi Act ke khilaaf ehtajaji muzahira kiya gaya. Delhi ke Jamia Millia mein talba par police karwai ke khilaaf AMU ke talba ne par tashadud muzahira kiya. Police ne hujhoom ko muntashir kar ne ke liye ansoo gas ke shall bar saaye aur talba par lathi charge kiya.
Compus mein Rapid Action force bhi tainaat kar di gayi hai. It-tila-aat ke mutabiq, Itwaar ki shaam, Taalib ilmoon ki ek badi tadaad intizami block ke bahar jama hogayi thi aur police par pathrao kiya tha, Muzahireen ne police ke khilaaf naare bhi lagaye.
AMU ke ohdedaroun ke zareya AMU talba ko mutmaen karne ki koshishen nakaam saabit huien. Aur talba ka ehtijaj jari raha. It-tila-aat ke mutabiq, Mazkorh tashadud mein 2 police ahelkar ke sath Senior police aur mutadid sahafi bhi zakhmi hue. Senior police afsaraan AMU poanch gaye aur Campus ke andar se firing ki itelaa mili hai.
Is se qabal, AMU talba ne Chungi Gate par is ilaqay mein toad phod ki thi aur gadiyoun ko nazar aatish kiya tha. Lacknow mein police ke aala ohdedar is sorat-e-haal par gehri nazar rakhay hue they aur tashadud mein izafay ko roknay ke liye iqdamaat kar rahay they.
It-tila-aat ke mutabiq, Aligarh Muslim University intizamia ne itwaar ki raat elaan kiya hai ke idaara 5 January tak band rahay ga. Campus gate ke qareeb shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf police aur ehtajaji talba ke darmain jhad pon ke baad ye faisla kiya gaya hai. Aligarh Muslim University ke registrar Abdul Hameed ne bataya ke University aaj se 5 January tak band rahaygi. Guzashta 3 dinoun se baaz ghair samaji anasir ki janib se peda ki gayi gad bad ki wajah se aisa kiya gaya hai. It-tila-aat ke mutabiq, Police Aligarh University Campus mein bhi ghus padi aur wahan se hostel khaali karaye gaye, Internet band kar diya gaya. –YTN STAFF