Hyderabad

Airport Par Belt Utaarnay Ki Security Shart Se Musafireen Barham

By News Desk Roman Urdu

April 29, 2019

Hyderabad: Haliya dino mein Kashmir ke maqam Pulwama ke alawa Srilanka mein Easter ke mauqa par girja gharo aur hotels mein hue bomb dhamakoun jis mein senkdon masoom afraad aur Hindustani fouj ke noujawano ki jaanen gayeen, iske baad awam ki hifazat aur khaas kar airports par musafireen ke liye sakht tareen hifazati iqdamaat kiye ja rahay hain lekin kuch iqdamaat itnay sakht aur be wajah bhi maloom ho rahay hain ke awam ko isse takleef ho rahay jis par woh barhami ka izhaar bhi kar rahay hain, jaisa ke airport par inhen kamar par bandhnay jane walay belt bhi utaarnay ka hukum diya ja raha hai jis se musafireen mein barhami payi jarahi hai .

Rajiv Gandhi international Airport Hyderabad se deegar maqamat ka safar karne walay darjanon musafireen ne barhami ka izhaar karte hue media numainday se kaha ke Airport par belt aur deegar foulaad se tayyar ki jane wali ashiya ko nikaalte ka hukum diya ja raha hai halaanke jo belt badan par istemaal kiya gaya hai usay bhi nikaalte ka hukum diya ja raha hai jis se na sirf pareshani horahi hai balkay safar mein takheer bhi horahi hai. doosri janib CISF IGCV Anand ne wazahat karte hue kaha ke haliya dinon mein Hindustan aur Srilanka ke bomb dhamako ke baad Airports, Railway Station aur Bus depots par ahteyati iqdamaat ko mazeed sakht tareen kardiya gaya hai. Bureau of civil Aviation security ke rehnumaiyana usool ke mutabiq musafireen ko apne badan par pehnay hue belt ko bhi nikalna lazim hai. iske ilawa agar jism par metal ki koi aur shaye bhi pehni hui hai to usay security ki wajohaat ki bana par nikaal kar check karwana zarori hai aur ab to halaat ki munasbat se yeh karna intahi zarori hai lehaza Airport hukkaam ne musafireen ko mahswara diya hai ke woh Airport kisi qadar jald pohanche taakay inhe security check aur deegar umoor ki takmeel mein takheer ke Alawa mushkil aur masail ka saamna na karna pade. –YTN STAFF