Business

Air India Ka Dewalia Nikal Chuka Hai, Koi Khangi Khareedar Bhi Nahi Mil Raha

By News Desk Roman Urdu

July 03, 2019

New Delhi: Modi hukoomat ki naaqis policies ka ek aur bada nuqsaan manzar-e-aam par aaya hai aur ab sarkari Air lines air India zabardast maali bohraan mein phas chuka hai kyunkay company ke paas paise nahi hain jis ke zareya woh kam az kam apne mulazmeen ko tankhwah de sakay. kuch mahino mein company mein kaam karne walay mulazmeen ki tankhwa tak milni mushkil hojayegi. yaad rahay ke Air India ke paas abhi 2500 crore rupay hain jo Vendors ki adaigi aur kuch mahino ki tankhwa dainay mein khatam hojayega.

Air India har mahinay taqreeban 300 crore rupay tankhwa ki adaigi mein kharch karti hai aur agar company ke paas kahin se paise nahi aaye to company october ke baad tankhwa ki adaigi bhi nahi kar payegi. tafseelaat ke mutabiq tel companiyon, airport operator aur deegar vendos ka baqayaat ada karne aur kuch mahino ki tankhwa dainay mein yeh paise kharch hojayenge. company ke ek ohdedar ke mutabiq May ke mahinay mein bhi tankhwa 10 din ki takheer se mili thi.

Halaat ko dekh kar aisa mehsoos hota hai ke Air India ki haalat bhi BSNL ki tarhan hoti jarahi hai. khabar hai ke BSNL apne mulazmeen ko tankhwa dainay ki haalat mein nahi hai. Air India ki haalat bhi kuch had tak iske jaisi hi hoti ja rahi hai. hukoomat Air line company ki kharab maali haalat se bakhabar hai. halaanke wizarat baraye shehri hawabazi ney aindah budget, jo ke 5 July ko paish honay wala hai, company ke liye koi mutalba nahi rakha hai. fil haal Air India par taqreeban 9 hazaar crore ka qarz hai.

Company ko is maali saal mein is qarz ki adaigi shuru karni hai. halaanke company qarz ki adaigi karne ki haalat mein nahi hai. company ki koshish hai ke nisf qarz ki adaigi aglay maali saal ke liye taal di jaye. hukoomat Air India ko farokht karne ki bhi koshish kar rahi hai lekin koi kahreedar nahi mil raha. hukoomat is company mein sad feesad hissa daari khangi sarmaya karon ko farokht karne ka mansoobah bana rahi hai . –YTN STAFF