Jurm

Air Asia India ke tayyarah se murda nauzaida baraamad

By Abdul Aziz

July 26, 2018

Taekwondo ki khatoon khiladi ko shuba ki bunyaad par hirasat mein le liya gaya. Muqadma ke indraaj se mutaliq ibham. Khatoon khiladi kal junoobi Korea ko rawana honey wali hai. Aksar khatoon khiladi baday muqablon mein shirkat ke liye haamela ban jati hain chunkay hamal theharney ke teen mah tak haamela aurat ki jismani taaqat, aam dinon se badhi hui hoti hai taakay woh dosray khiladion par ghalib aasakay.

New Delhi. New Delhi mein land honey walay Air Asia India ke tayyarah ke bait-alkhala se aik nauzaida ki murda laash padi mili. Police aur Airlines zaraye ke bamawajjib yeh Airlines ka tayyarah gohati se New Delhi pouncha tha. New Delhi ayrport Police station ke aik ohdedar ney bataya ke aik khatoon ko jo tayyarah mein sawaar thi aur jis par parwaaz ke douran tayyarah mein bache ko janam dainey ka shuba kya ja raha hai, Police ney hirasat mein le liya hai. Air Asia India ney kaha ke tayyarah ke amlah ko landing ki tayari ke douran toiletpaper mein lipta huwa nauzaida bacha murda pada mila. Airlines ney bataya ke is ney Mulk ke shehri hwabazi authority aur Directorate General of Civil Aviation ko is baaray mein mutala kardiya hai. Police ke tehqiqati ohdedar ney bataya ke mushtaba khatoon ney parwaaz ke douran tayyarah mein bacha ko janam dainey se inkaar kardiya hai is liye is khatoon ko hospital muntaqil kya jarha hai taakay wahan pata chalaya jasakay ke aaya khatoon ney bacha janam diya hai ya nahi. Takheer se mousula ittila mein bataya gaya ke aik 19 sala Taekwondo khiladi ney tafteesh ke douran yeh iqraar karliya hai ke is ka hamal girgya tha. Police ney is khusus mein Tazeerat Hind ki dafaa 318 ke tehat laash ki khufia nikasi ke zareya paidaiesh chhupaney ke ilzaam mein aik muqadma darj karliya hai aur bataya ke nauzaida bacha ki laash ka postmortem karwaya jaye ga taakay yeh pata chala ya jasakay ke bacha ki madar reham mein Umar kya thi. Yeh wazeh nahi ho saka ke isqaat hamal huwa hai ya phir mamool ke mutabiq bacha ki paidaiesh hui hai aur aisa huwa hai to bacha paidaiesh ke waqt zindah tha ya murda? Aik Police ohdedar ney naam zahir nah karne ki shart par bataya ke khiladi ke khilaaf koi muqadma darj nahi kya gaya jo jummay ko Junoobi Korea ka safar karne wali hai. Majmoi surat e haal ko dekh kar aisa lagta hai ke khiladi ko isqaat e hamal huwa hai. Aksar khatoon khiladi baday muqablon mein shirkat ke liye haamela ban jati hain chunkay hamal theharney ke teen mah tak haamela aurat ki jismani taaqat, aam dinon se badhi hui hoti hai taakay woh dosray khiladion par ghalib aasakay.